mere bichhDe hue hamdam mere derina habib
Interesting Fact
(شاعر۔ مئی ۱۹۴۹۔آگرہ)
mere bichhḌe hue hamdam mere derīna habīb
merā har ḳhvāb hai lab-tishna-e-ta.amīr ai dost
merī goyā.ī hai be-jāñ sī tahrīr ai dost
ajnabiyyat nazar aatī hai mujhe rāhoñ meñ
kitnā maġhmūm sā rahtā huuñ safar-gāhoñ meñ
jalva-gāhoñ se guzartā huuñ be-ma.anī
ba-har-andāz sañvartā huuñ magar be-ma.anī
na ḳhayāloñ meñ tasalsul na irādoñ meñ sabāt
tū ne kyuuñ chhīn lī mujh se mirī zanjīr-e-hayāt
terī pur-josh rifāqat hai sar-e-zehn-e-nadīm
mere gītoñ meñ samoyā hai terā lahn-e-nadīm
ham ki bichhḌe na kabhī arsa-e-bachpan se nadīm
do alag rāhoñ meñ kyuuñ aaj ye āvāra haiñ
kuchh nahīñ puḳhtagī shauq meñ nākāra haiñ
merī majbūrī jise tū ne irāda samjhā
merī kamzorī-e-fitrat kā i.aada samjhā
vaqt ne baḌh ke dil-e-sāf ko be-nūr kiyā
aur yuuñ tujh ko rifāqat se mirī duur kiyā
ham ki bichhḌe na kabhī arsa-e-bachan se nadīm
do alag rāhoñ meñ kyuuñ aaj ye āvāra haiñ
kuchh nahīñ puḳhtagī shauq meñ nākāra haiñ
mere bichhDe hue hamdam mere derina habib
mera har KHwab hai lab-tishna-e-tamir ai dost
meri goyai hai be-jaan si tahrir ai dost
ajnabiyyat nazar aati hai mujhe rahon mein
kitna maghmum sa rahta hun safar-gahon mein
jalwa-gahon se guzarta hun be-mani
ba-har-andaz sanwarta hun magar be-mani
na KHayalon mein tasalsul na iradon mein sabaat
tu ne kyun chhin li mujh se meri zanjir-e-hayat
teri pur-josh rifaqat hai sar-e-zehn-e-nadim
mere giton mein samoya hai tera lahn-e-nadim
hum ki bichhDe na kabhi arsa-e-bachpan se nadim
do alag rahon mein kyun aaj ye aawara hain
kuchh nahin puKHtagi shauq mein nakara hain
meri majburi jise tu ne irada samjha
meri kamzori-e-fitrat ka iada samjha
waqt ne baDh ke dil-e-saf ko be-nur kiya
aur yun tujh ko rifaqat se meri dur kiya
hum ki bichhDe na kabhi arsa-e-bachan se nadim
do alag rahon mein kyun aaj ye aawara hain
kuchh nahin puKHtagi shauq mein nakara hain
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 163)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.