pem kahaanii
Interesting Fact
آخری کے تین اشعار تذکرہ شعرائے مراٹھواڑہ سے لیا گیا ہے۔
pem kahaanii kahat huu.n suno sakhii tum aa.e
pii Dhuu.nDhan kuu.n hau.n ga.ii aa.ii aap ga.nvaa.e
pem kahaanii bikh bharii mat suniyo ko.uu aa.e
baatan-baatan bikh jhare dekhat hii ghar jaa.e
pem galii ati sa.nkrii pii bin kuchh na samaa.e
tan-man chho.D jab aa.e to piih paayaa jaa.e
pemnagar muu.n aa.e ke sudh-budh se rahe kaun
sudh-budh yuu.n ghul jaat hai juu.n paanii mai.n nuun
pem-nagar me.n aa.e ke jivraa niksaa jaa.e
arii sakhii kuchh piih kii baat kaho Tuk aa.e
pem kahaanii kaThin hai kahe kaun uTh aa.e
baat kahii jiv let hai mukh pak.Dat hii dhaa.e
muu sir dukh muu suu.n paryuu.n juu mai.n naa.nh tuu naa.nh
saa.ii.n moh uThaa.e le jo moh naahii.n naa.nh
bhalaa hu.aa har bisrii sir kii ga.ii balaa.e
jaisii thii taisii bha.ii ab kuchh kahii na jaa.e
jo dukhraa moh sir paryo so kaahuu kii naa.nh
kabhuu pilaave pem ras kabhuu ki bikh chhur maa.nh
akath kathaa hai pem kii kahe banat kuchh naa.nh
jaa tan laage nehraa so buujhii man maa.nh
chaatur chaahan raag gun muurakh it tarsaa.nh
bhogii maa.nge chopa.Dii ruukhii ruukhaa khaa.nh
paatii aa.i piih kii chhaatii umgii jaa.e
maalaa TuuTii a.ng muu.n cholii tan na samaa.e
aag lago vaa des re biij paro te Thaa.nv
jahaa.n na charchaa neh kaa leh na piih kaa naau.n
laaj bhaaj muu suu.n ga.ii jaa din laago neh
baurii huu.n daurii phiruu.n sar muu Daarii.n kheh
tan-man muu.n khal-bal pa.Dii chubhii birah kii phaa.ns
haa.D maa.ns do.uu gale dhaay chale hai saa.ns
ai man-chale baavre yuu.n puuchhat huu.n toh
kin birhan aiso kiyo kin khovyo moh
ai bai-raagii jivre kahaa lagau tohe aa.e
ren-dinaa bekal rahii apnaa maa.ns tuu khaa.e
naahar piih kuu nehraa man muu.n baiThaa aa.e
baahar bhiitar piyo bin jo paave suu khaa.e
jor karat hai nehraa sakhii kaho kit jaa.u.n
naa.nv na jaanuu.n gaa.nv kaa jahaa.n sajan kuu Thaa.u.n
naa jaanuu.n ye jiivraa kaa sun laagyo jaa.e
mohan Tuk aavat nahii.n rahii huu.n haahaa khaa.e
sun rii nehii baavrii kaachii-paakii chho.D
vaa kuu.n kaise paa.iye jaasuu.n chale na jor
le kyuu.n jaa.uu.n maTkiyaa saarii maarag rukvaa.e
tanik laaj nahii.n baabhanvaa rii gauu-ras let chhinaa.e
le kyuu.n jaa.uu.n gagariyaa bhaarii mohan pakrat baa.nh
dahii duudh sab ley ke khe.nchat hai ban maa.nh
chhatiyaa.n aa.e.n umag ke a.ngiyaa chhoTii jaa.e
man mero aisan kahe jo mohan nikse aa.e
suutii thii sukh-chain suu.n ghar muu.n paa.nv pasaar
mohan moh jagaa.e ke pherat du.araa dvaar
jiyuu.n suuraj mukh jaat hai ghar-baahar kii chhaa.nh
tyuu.n merii sudh jaat hai ye mukh dekhii maa.nh
jor karat hai nehraa buujh parat kuchh naa.nh
naa jaanuu.n mai.n ai sakhii kiih dharat man maa.nh
birah biich moh sar par yuu tan-man jal bhayo kheh
hau.n baavrii kyaa jaantii yaako kahat hai.n neh
saa.ns leii.n nahii.n det hai chhin-chhin birahaa aa.e
ab un bin hau.n naa rahiyo.n jivraa niksaa jaa.e
sudh-budh taa din suu.n ga.ii jaa din dekhii naa.nh
cholii darkii a.ng muu.n jab gah pak.Dii baa.nh
sudh-budh tan-man muu.n ga.ii nainan suu.n ga.ii laaj
haath dho.e paachhe pariyo maa.ii mohan aaj
batherii.n aklii.n guu.ndh ke nainan kaajal deh
tan-man duur buhaar ke saajan suu.n sukh leh
maa.ng sa.nvaarii neh suu.n ka.nghii kar guu.ndhe baal
gahnaa pahrii a.ng bhar kap.De pahne laal
paa.el baaje.n baat muu.n aur ghu.ngruu jhankaa.nh
liye du.ii dukh ham sar parii pyuu bin kaisii jaanah
gauu charaavat phirat hai nit uTh jamunaa tiir
nis dukh chhan-chhan det hai chanchal nipaT ahiir
ren-dinaa dekhat rahii.n to-uu dii.th na chain
nain Tuk na aghaat hai.n juu.n bhuukii be-chain
birhaa.e suu.n ai sakhii nipaT kaThin bani aa.e
dekhe tan-man naa bhare jin dekhiye jiyo jaa.e
laakhan a.nkhiyaa.n paau.n juu dekhuu.n sab se pii
dekhat-dekhat mar miTuu.n to.uu bhare naa jii
ren-dinaa ghere rahii.n ik chhan det na chain
yaa mohan kii haath suu.n paro moh jii dain
nain aa.e naath me.n maathe tevrii laa.e
muu.n ko kuchh sudh naa.nh hai chuuk kahaa parii aa.e
dhar-dhar hiyraa karat hai sar-sar jivraa jaa.e
dhar-dhar suu.n dukh sar parii birhan kii sar aa.e
dhar-dhar hiyraa karat hai dhiir nahii.n ko.uu det
neh sajan kaa piiTh man maar maar jiih let
pem laaj sab uTh ga.ii sunat birah ke bain
piitam kii darsan binaa thar-thar karii.n do.uu nain
ghar-baahar bhar nehraa mo ko raho na Thaav.n
tan-man me.n mohan base rah gayo meraa naa.nv
aaj na dekhaa laal kuu.n haal hamaaraa aur
chubhii birah kii bhaal dukh ke dauraa daur
ai rii sakhii baa.ngar muu.n man mero liyo moh
mohan hai yaa Dagar muu.n nahii.n kahat rahii.n toh
man mero liyo moh sii.n phir ghuurt hai moh
are are mohan baavre kachhu laaj hai toh
piit kii riit ko.u riit hai mat marda.u lo naa.nv
bhuule se mat jaav re kaa.nTe hai.n tah Thaav.n
juulii nikasat ra.ng suu.n a.ngiyaa.n chhuu.ii jaa.e
man bairaagii vaa se kah mohan niksai aa.e
gaa.e paim kahaanii bas bahre mat suno ko.ii aa.e
baato.n baato.n bis jha.De dekhat hai gauhar jaa.e

- Book : Najat-e-Qasim (Pg. 192)
- Author : Shah Qasim Danapuri
- Publication : Ashraf-ul-Akhbar, Agra (1857)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.