Ashaar of Shams Sabri
ḳhayāl-e-ḳhudā meñ ḳhudī ko bhulā kar
nishān-e-ḳhudā ham jamā.e hue haiñ
KHayal-e-KHuda mein KHudi ko bhula kar
nishan-e-KHuda hum jamae hue hain
kahāñ 'shams' bañdā kahāñ tū ḳhudāyā
ḳhudā-o-ḳhudī ham bhulā.e hue haiñ
kahan 'shams' banda kahan tu KHudaya
KHuda-o-KHudi hum bhulae hue hain
mujhe qatl kar diyā be-ḳhatar na kiyā zrā bhī ḳhudā kā Dar
tere ishq meñ ye milā samar na idhar kā rahā na udhar kā rahā
mujhe qatl kar diya be-KHatar na kiya zra bhi KHuda ka Dar
tere ishq mein ye mila samar na idhar ka raha na udhar ka raha
ab na apnā hosh hai mujhko n kuchh us kā ḳhayāl
be-ḳhudī taarī hai jab se ho ga.ī raftār aur
ab na apna hosh hai mujhko n kuchh us ka KHayal
be-KHudi tari hai jab se ho gai raftar aur
nahīñ dīn-o-duniyā ka hosh ab huuñ hijr meñ terī jaañ ba-lab
mujhe kaaTe khātā hai apnā ghar nā idhar kā rahnā udhar kā rahā
nahin din-o-duniya ka hosh ab hun hijr mein teri jaan ba-lab
mujhe kaTe khata hai apna ghar na idhar ka rahna udhar ka raha