ALL
Chaupai8
sher1
Doha4
Video5
Profile
Raga Based Poetry6
Saakhi138
Hori1
Sorthaa3
Jhulna1
Bhajan1
Abhang1
Shabad7
Saakhi of Kabeer
parbat parbat mai phirī nain gañvāyo roye
so buuTī pāyoñ nahīñ jā teñ jīvan hoai
parbat parbat mai phiri nain ganwayo roye
so buTi payon nahin ja ten jiwan hoai
prem binā dhīraj nahīñ birah binā bairāg
satgurū bin jāvai nahīñ man mansā kā daaġh
prem bina dhiraj nahin birah bina bairag
satguru bin jawai nahin man mansa ka dagh
ambar kujjā kari liyā garji bhare sab taal
jin teñ pirītam bichhurā tin kā kaun havāl
ambar kujja kari liya garji bhare sab tal
jin ten piritam bichhura tin ka kaun hawal
birah bhuvañgam tan Dasā mantar na lāgai koy
naam biyogī nā jiyai jiyai to baaur hoai
birah bhuwangam tan Dasa mantar na lagai koy
nam biyogi na jiyai jiyai to baur hoai
ghāThi paanī sab bharai aughaT bharai na koy
aughaT ghaaT 'kabīr' kā bharai so nirmal hoy
ghaThi pani sab bharai aughaT bharai na koy
aughaT ghaT 'kabir' ka bharai so nirmal hoy
galoñ tumhāre naam par jayoñ aaTe meñ non
aisā birhā mel kari nit dukh pāvai kaun
galon tumhaare nam par jayon aaTe mein non
aisa birha mel kari nit dukh pawai kaun
bāsar sukh nahi rain sukh nā sukh supne māhiñ
sat-gurū se jo bīchhure tin ko dhuup na chhāñhi
basar sukh nahi rain sukh na sukh supne mahin
sat-guru se jo bichhure tin ko dhup na chhanhi
sat-gurū dīn-dayāl hai dayā karī mohiñ aay
koTi janam kā panth thā pal meñ pahuñchā jaai
sat-guru din-dayal hai daya kari mohin aay
koTi janam ka panth tha pal mein pahuncha jai
prem biktā maiñ sunā māthā saaTe haaT
būjhat bilañb na kījiye tat chhin dījai kaaT
prem bikta main suna matha saTe haT
bujhat bilanb na kijiye tat chhin dijai kaT
merā man to tujh se terā man kahuñ aur
kah kabīr kaise banai ek chitt dui Thaur
mera man to tujh se tera man kahun aur
kah kabir kaise banai ek chitt dui Thaur
naañv na jānai gaañv kā bin jaane kit jaañv
chalte chalte jug bhyā paav kos par gaañv
nanw na jaanai ganw ka bin jaane kit jaanw
chalte chalte jug bhya paw kos par ganw
chalan chalan sab koi kahai mohiñ añdesā aur
sāhib se parichay nahīñ pahuñcheñge kehi Thaur
chalan chalan sab koi kahai mohin andesa aur
sahib se parichay nahin pahunchenge kehi Thaur
jiyrā yoñ lai goygā birah tapāy tapāy
añkhiyāñ prem basāiyā jani jaane dukhdāy
jiyra yon lai goyga birah tapay tapay
ankhiyan prem basaiya jani jaane dukhday
'kabīr' mārag kaThin hai sab muni baiThe thāki
tahāñ 'kabīrā' chaḌhi gayā gahi sat-gurū kī sākhi
'kabir' marag kaThin hai sab muni baiThe thaki
tahan 'kabira' chaDhi gaya gahi sat-guru ki sakhi
jab lagi marne se jarai tab lagi prem nāhiñ
baḌī duur hai prem ghar smujhi lehu man māhiñ
jab lagi marne se jarai tab lagi prem nahin
baDi dur hai prem ghar smujhi lehu man mahin
bahut dinan kī jovtī raTat tumhāro naam
jiv tarsai tuv milan ko man nāhīñ visrām
bahut dinan ki jowti raTat tumhaaro nam
jiw tarsai tuw milan ko man nahin wisram
sabai rasāyan maiñ kiyā prem samān na koy
rati ik tan meñ sancharai sab tan kanchan hoai
sabai rasayan main kiya prem saman na koy
rati ek tan mein sancharai sab tan kanchan hoai
birhā mo se yoñ kahae gāḌhā pakḌo mohiñ
charan kamal kī mauj meñ lae pahuñchā.aun tohiñ
birha mo se yon kahae gaDha pakDo mohin
charan kamal ki mauj mein lae pahunchaaun tohin
'kabīr' pyāla prem kā antar liyā lagāy
rome rome meñ rami rahā aur amal bayā khaay
'kabir' pyala prem ka antar liya lagay
rome rome mein rami raha aur amal baya khay
maañs gayā pinjar rahā tākan laage kaag
sāhib ajhuñ na aaiyā mañd hamāre bhaag
mans gaya pinjar raha takan lage kag
sahib ajhun na aaiya mand hamare bhag
so din kaisā goygā gurū gaheñge bāñhi
apnā kari baiThāvahīñ charan kañval kī chhāñhi
so din kaisa goyga guru gahenge banhi
apna kari baiThawahin charan kanwal ki chhanhi
sādhū siip samudr ke satgurū savāñtī band
trishā ga.ī ik buuñd se kyā le karauñ samund
sadhu sip samudr ke satguru sawanti band
trisha gai ek bund se kya le karaun samund
jo aavai to jaai nahi jaai to aavai nāhiñ
akath kahānī prem kī smujhi lehu man māhiñ
jo aawai to jai nahi jai to aawai nahin
akath kahani prem ki smujhi lehu man mahin
amrit kerī moTrī rākhī satgurū chhori
aap sarīkhā jo milai taahi pilāvaiñ ghori
amrit keri moTri rakhi satguru chhori
aap sarikha jo milai tahi pilawain ghori
birah bhuvañgam paiThi kai kiyā kaleje ghaav
birahin añg na modihai jayoñ bhāvai tayoñ khaav
birah bhuwangam paiThi kai kiya kaleje ghaw
birahin ang na modihai jayon bhawai tayon khaw
sau jojan sājan basai maano hirdaya mañjhār
kapaT sanehī āñgne jaanu samundar paar
sau jojan sajan basai mano hirdaya manjhaar
kapaT sanehi aangne jaanu samundar par
sukhiyā sab sansār hai khāvai au sovai
dukhiyā daas 'kabīr' hai jāgai au rovai
sukhiya sab sansar hai khawai au sowai
dukhiya das 'kabir' hai jagai au rowai
yahī prem nirbāhiye rahni kināre baiThi
sāgar teñ nyārā rahā gayā lahri meñ paiThi
yahi prem nirbahiye rahni kinare baiThi
sagar ten nyara raha gaya lahri mein paiThi
dekhat dekhat din gayā nis bhī dekhat jaai
birahin piya pāvai nahīñ bekal jiai ghabrā.e
dekhat dekhat din gaya nis bhi dekhat jai
birahin piya pawai nahin bekal jiai ghabrae
jogī jañgam sevḌā sanyāsī darvesh
binā prem pahuñchai nahīñ durlabh satgurū des
jogi jangam sewDa sanyasi darwesh
bina prem pahunchai nahin durlabh satguru des
chūḌī paTkoñ palañg se cholī laaoñ aagi
jā kāran ye tan dharā nā suutī gal laagi
chuDi paTkon palang se choli laon aagi
ja karan ye tan dhara na suti gal lagi
piiyā jāhai prem ras rākhā chāhai maan
ek myaan meñ do khaḌag dekhā sunā na kaan
piya jahai prem ras rakha chahai man
ek myan mein do khaDag dekha suna na kan
kiiḌe kaaTh jo khā.iyā khaat kinhūñ nahi diiTh
chhāl upāri jo dekhiyā bhītar jamiyā chēTh
kiDe kaTh jo khaiya khat kinhun nahi diTh
chhaal upari jo dekhiya bhitar jamiya cheeTh
adhik sanehī māchhrī duujā alp sanhe
jabhīñ jal teñ bīchhurai tabhī tyāgai deñh
adhik sanehi machhri duja alp sanhe
jabhin jal ten bichhurai tabhi tyagai denh
añkhiyan to jhāñīñ parī panth nihār nihār
jibhyā to chhālā parā naam pukār pukār
ankhiyan to jhanin pari panth nihaar nihaar
jibhya to chhaala para nam pukar pukar
kabīr chingī birah kī mo tan paḌī uḌaa.e
tan jari dhartī hū jari ambar jariyā jaai
kabir chingi birah ki mo tan paDi uDae
tan jari dharti hu jari ambar jariya jai
mariye to mari jā.iye chuTi parai janjār
aisā marnā ko marai din meñ sau sau baar
mariye to mari jaiye chuTi parai janjar
aisa marna ko marai din mein sau sau bar
birah jalantī dekhi kar sā.īñ aay dhaay
prem buuñd se chhirkī ke jaltī la.ī bujhāy
birah jalanti dekhi kar sain aay dhay
prem bund se chhirki ke jalti lai bujhay
prem pāñvrī pahiri kai dhīraj kājar dai.i
seel sindūr bharā۔i kai yoñ piya kā sukh lei
prem panwri pahiri kai dhiraj kajar dai
seel sindur bhara۔i kai yon piya ka sukh lei
preñm chhipāyā nā chhipai jā ghaT parghaT hoai
jo pai mukh bolai nahīñ to nain det haiñ roye
prenm chhipaya na chhipai ja ghaT parghaT hoai
jo pai mukh bolai nahin to nain det hain roye
prem bhaav ik chāhiye bhesh anek banāy
bhāve girah meñ baas kar bhāve ban meñ jaai
prem bhaw ek chahiye bhesh anek banay
bhawe girah mein bas kar bhawe ban mein jai
birhā birhā mat kahoñ birhā hai sultān
jā ghaT birah na sancharai so ghaT jaan masān
birha birha mat kahon birha hai sultan
ja ghaT birah na sancharai so ghaT jaan masan
uttam priti so jāniye satgurū se jo hoai
gunvantā au darbay kī priti krai sab koy
uttam priti so jaaniye satguru se jo hoai
gunwanta au darbay ki priti krai sab koy
nainoñ kī kari koTharī putlī palañg bichhā.ye
palkoñ kī chik Daarī kai piya ko liyā rijhā.e
nainon ki kari koThari putli palang bichhaye
palkon ki chik Dari kai piya ko liya rijhae
ekam ekā hon de binsin de kailas
dhartī ambar jaan de mo meñ mere daas
ekam eka hon de binsin de kailas
dharti ambar jaan de mo mein mere das
hañs hañs kañt na pāiyā jin paaya tin roye
hāñsī khele piya milāiñ to kaun duhāgini hoai
hans hans kant na paiya jin paya tin roye
hansi khele piya milain to kaun duhagini hoai
gāgar uupar gāgrī chole uupar dvaar
sulī uupar sāñthrā jahāñ bulābai yaar
gagar upar gagri chole upar dwar
suli upar santhra jahan bulabai yar
añk bharī bhari bheñTiye man nahiñ bāñdhai dhiir
kah 'kabīr' te kyā mile jab lagi doai sarīr
ank bhari bhari bhenTiye man nahin bandhai dhir
kah 'kabir' te kya mile jab lagi doai sarir
'kabīr' chandan ke nikaT niim bhī chandan hoai
buuḌe baañs baḌā.iyā yoñ jani buuḌo koy
'kabir' chandan ke nikaT nim bhi chandan hoai
buDe bans baDaiya yon jani buDo koy