Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama
noImage

Bekhud Suhrawardi

1935 - 2008

Ashaar of Bekhud Suhrawardi

'ayāz' ik besh-qīmat tujhe nukta batātā huuñ

tum apne aapko samjho ḳhudā kiyā hai ḳhudā jaane

'ayaz' ek besh-qimat sa tujhe nukta batata hun

tum apne aapko samjho KHuda kiya hai KHuda jaane

zindagī ko bech Daalā be-ḳhudī ke jaam per

ek sāġhar se dil tishnagī jaatī rahī

zindagi ko bech Dala be-KHudi ke jam per

ek hi saghar se dil ki tishnagi jati rahi

ḳhushī se choT khāne mazā kaif-e-jāñ-sozī

koī jāñ-soz pervāva koī dil-jalā jaane

KHushi se choT khane ka maza ya kaif-e-jaan-sozi

koi jaan-soz perwawa ya koi dil-jala jaane

rind huuñ ba-ḳhudā magar be-ḳhud huuñ be-ḳhudā nahīñ

tum mere ho peshvā yaanī ki nā-ḳhudā bhī tum

rind hun ba-KHuda magar be-KHud hun be-KHuda nahin

tum hi mere ho peshwa yani ki na-KHuda bhi tum

laboñ per naam na aañsū hikāyat na shikāyat ho

asīr-e-zulf dīvāna hai dīvānā ye kiyā jaane

labon per nam na aansu hikayat na shikayat ho

asir-e-zulf diwana hai diwana ye kiya jaane

laboñ per naam na aañsū hikāyat na shikāyat ho

asīr-e-zulf dīvāna hai dīvānā ye kiyā jaane

labon per nam na aansu hikayat na shikayat ho

asir-e-zulf diwana hai diwana ye kiya jaane

jab tak ek hasīñ makīñ thā dil meñ har-sū phuul khile the

vo ujḌa to gulshan ujḌā aur havā ābād nahīñ hai

jab tak ek hasin makin tha dil mein har-su phul khile the

wo ujDa to gulshan ujDa aur hawa aabaad nahin hai

Recitation

Speak Now