watan ke muhafiz ka paigham apni man ke nam
duur rah kar tirī furqat bhī gavārā hai mujhe
ghar se to jañg kā maidāñ hī pyārā hai mujhe
mauj-e-tūfān-o-talātum bhī kinārā hai mujhe
terī mamtā kā baharhāl sahārā hai mujhe
maañ mire farz ne is vaqt pukārā hai mujhe
sāġhar-e-hubb-e-vatan aaj mirā miinā hai
ab mujhe desh ke dushman kā lahū piinā hai
dāman-e-jeb-o-garebāñ ko abhī siinā hai
hausla-mand javānoñ kī tarah jiinā hai
maañ mire farz ne is vaqt pukārā hai mujhe
azmat-e-hind ko hargiz na miTāne dūñgā
apnī shujā.at pe koī harf na aane dūñgā
tāqat zulm-o-sitam ko ab na baḌhāne dūñgā
paañv ġhairoñ ko yahāñ ab na jamāne dūñgā
maañ mire farz ne is vaqt pukārā hai mujhe
dur rah kar teri furqat bhi gawara hai mujhe
ghar se to jang ka maidan hi pyara hai mujhe
mauj-e-tufan-o-talatum bhi kinara hai mujhe
teri mamta ka baharhaal sahaara hai mujhe
man mere farz ne is waqt pukara hai mujhe
saghar-e-hubb-e-watan aaj mera mina hai
ab mujhe desh ke dushman ka lahu pina hai
daman-e-jeb-o-gareban ko abhi sina hai
hausla-mand jawanon ki tarah jina hai
man mere farz ne is waqt pukara hai mujhe
azmat-e-hind ko hargiz na miTane dunga
apni shujaat pe koi harf na aane dunga
taqat zulm-o-sitam ko ab na baDhane dunga
panw ghairon ko yahan ab na jamane dunga
man mere farz ne is waqt pukara hai mujhe
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 138)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.