talba se KHitab
amal kī quvvat-e-pinhāñ ko āshkār kaaro
vatan ko auj-e-taraqqī se ham-kanār kaaro
sukūñ-shikan to bano sakoñ-parast nahīñ
hamesha ba-rū-e-mauj be-qarār kaaro
vatan kī naav ke to ham hī to nāḳhudā Thahre
vatan kī naav ko sāhil se ham-kanār kaaro
udaas kyuuñ ho zamāna jo sāzgār nahīñ
uTho mizāj-e-zamāna ko sāzgār kaaro
fazā meñ chhoḌ do ik naġhma-e-sukūt-shikan
ḳhud ashk-bār ho auroñ ko ashk-bār kaaro
miTā do bāġh-e-jahāñ se fasurdagī kā nishāñ
mile jo qatra-e-shabnam use sharār kaaro
tumhārā ā.īna-e-dil hai kuchh ġhubār-ālūd
tum apne ā.īna-e-dil ko tābdār kaaro
batāo ahl-e-jahāñ ko ma.ānī-e-ġham-e-ishq
har ik dil ko ġham ye de ke sogvār kaaro
tum apne dāġh-e-mohabbat ko ḳhuub chamkā ke
shuā-e-mahr-e-daraḳhshāñ ko sharmsār kaaro
tumhārī shaan ke shāyāñ nahīñ hai ye taqlīd
tum apnī quvvat-e-tajrīd āshkār kaaro
nafas nafas meñ jalā charāġh-e-rūh-e-yaqīñ
qabā-e-fikr-e-pareshāñ ko taar taar kaaro
baḌho baḌho sū-e-manzil yaqīn-o-azm ke saath
jo sañg raah meñ aa.e to sañgsār kaaro
jahāñ meñ rahne na paa.e nishān pastī kā
har ik zariye ko ḳhurshīd-e-zar-nigār kaaro
ye zindagī to ibārat hai sa.ī-e-paiham se
zarā mushāhida-e-nabz-e-ābshār kaaro
qarār maut hai insāñ kī ḳhudī ke liye
payām-e-'barq' ye hai ḳhud ko be-qarār kaaro
amal ki quwwat-e-pinhan ko aashkar karo
watan ko auj-e-taraqqi se ham-kanar karo
sukun-shikan to bano sakon-parast nahin
hamesha ba-ru-e-mauj be-qarar karo
watan ki naw ke to hum hi to naKHuda Thahre
watan ki naw ko sahil se ham-kanar karo
udas kyun ho zamana jo sazgar nahin
uTho mizaj-e-zamana ko sazgar karo
faza mein chhoD do ek naghma-e-sukut-shikan
KHud ashk-bar ho auron ko ashk-bar karo
miTa do bagh-e-jahan se fasurdagi ka nishan
mile jo qatra-e-shabnam use sharar karo
tumhaara aaina-e-dil hai kuchh ghubar-alud
tum apne aaina-e-dil ko tabdar karo
batao ahl-e-jahan ko maani-e-gham-e-ishq
har ek dil ko gham ye de ke sogwar karo
tum apne dagh-e-mohabbat ko KHub chamka ke
shua-e-mahr-e-daraKHshan ko sharmsar karo
tumhaari shan ke shayan nahin hai ye taqlid
tum apni quwwat-e-tajrid aashkar karo
nafas nafas mein jala charagh-e-ruh-e-yaqin
qaba-e-fikr-e-pareshan ko tar tar karo
baDho baDho su-e-manzil yaqin-o-azm ke sath
jo sang rah mein aae to sangsar karo
jahan mein rahne na pae nishan pasti ka
har ek zariye ko KHurshid-e-zar-nigar karo
ye zindagi to ibarat hai sai-e-paiham se
zara mushahida-e-nabz-e-abshaar karo
qarar maut hai insan ki KHudi ke liye
payam-e-'barq' ye hai KHud ko be-qarar karo
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 155)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.