salam
more ahmad kamlī vaale tum par lākhoñ salām
abdullāh ke nūr-e-nazar ho
aamna ke laḳht-e-jigar ho
shāh-e-do-ālam ḳhairul-bashar ho
dā.ī-halīma ke paale tum par lākhoñ salām
nūr-e-ḳhudā mahbūb-e-ḳhudā ho
nām-e-mohamād salle-alā ho
rutbe meñ nabiyoñ se sivā ho
shān-e-nubuvvat vaale tum par lākhoñ salām
arsh-e-barīñ par haq ne bulāyā
jalva apnā aap dikhāyā
rutba a.alā aap ne paayā
jag ke tum ho ujāle tum par lākhoñ salām
nabiyoñ ke sartāj bane ho
ummat ke me.arāj tumhīñ ho
sab kī rakhyā laaj tumhīñ ho
ummat ke rakhvāle tum par lākhoñ salām
but-ḳhāna ko ka.aba banāyā
diin kā har-sū Dañkā bajāyā
saare jahāñ ko kalma paḌhāyā
tum ho allāh vaale tum par lākhoñ salām
har-dam chhā.ī ġham kī ghaTā hai
ummat par nāzil ye balā hai
beḌā bhañvar meñ aan phañsā hai
paḌ ga.e jaan ke laale tum par lākhoñ salām
hogā bapā jab roz-e-mahshar
tishna-lab ummat ghabrā kar
arz karegī sāqī-e-kausar
de de bhar bhar pyāle tum par lākhoñ salām
'sanjar' kī taqdīr jagā do
bigḌā har ek kaam banā do
ujḌā huā ghar is kā basā do
tum ho rahmat vaale tum par lākhoñ salām
more ahmad kamli wale tum par lakhon salam
abdullah ke nur-e-nazar ho
aamna ke laKHt-e-jigar ho
shah-e-do-alam KHairul-bashar ho
dai-halima ke pale tum par lakhon salam
nur-e-KHuda mahbub-e-KHuda ho
nam-e-mohamad salle-ala ho
rutbe mein nabiyon se siwa ho
shan-e-nubuwwat wale tum par lakhon salam
arsh-e-barin par haq ne bulaya
jalwa apna aap dikhaya
rutba aala aap ne paya
jag ke tum ho ujale tum par lakhon salam
nabiyon ke sartaj bane ho
ummat ke mearaj tumhin ho
sab ki rakhya laj tumhin ho
ummat ke rakhwale tum par lakhon salam
but-KHana ko kaba banaya
din ka har-su Danka bajaya
sare jahan ko kalma paDhaya
tum ho allah wale tum par lakhon salam
har-dam chhai gham ki ghaTa hai
ummat par nazil ye bala hai
beDa bhanwar mein aan phansa hai
paD gae jaan ke lale tum par lakhon salam
hoga bapa jab roz-e-mahshar
tishna-lab ummat ghabra kar
arz karegi saqi-e-kausar
de de bhar bhar pyale tum par lakhon salam
'sanjar' ki taqdir jaga do
bigDa har ek kaam bana do
ujDa hua ghar is ka basa do
tum ho rahmat wale tum par lakhon salam
- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 149)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.