mearaj-e-safar
barrāq-e-fikr hai gardūñ-navard aaj kī raat
havā uḌtī hai tāroñ kī gird aaj kī raat
ye kaun zehn ke raushan makān meñ utrā
ḳhayāl-e-sūrat-e-jibrīl dhyān meñ utrā
hai ḳham rasā.ī-e-insāñ pe fāsloñ kī jabīñ
bulandiyoñ pe kamandeñ uchhāltī hai zamīñ
ye raat kyuuñ na ho afzal tamām rātoñ meñ
liye hue haiñ añdhere charāġh hāthoñ meñ
vo raat jis kā zamāna javāb lā na sake
milā.e aañkh to sūraj bhī taab lā na sake
vo raat jis ne hasīñ ḳhvāb jaag kar dekhā
vo raat jis ne mohammad ko arsh par dekhā
gayā thā ishq ḳhalāoñ kī raah se aage
nigāh jaatī hai hadd-e-nigāh se aage
rukī rukī nazar aatī thī nabz aalam kī
guzar rahī thī savārī rasūl-e-akram kī
ravāñ the saath farishte abā uThā.e hue
fazā.eñ katba-e-salle-alā uThā.e hue
urūj-e-ādamiyat aap par tamām huā
ḳhudā ḳhud apne hī jalvoñ se ham-kalām huā
tajalliyāt ke haale meñ yuuñ ghire donoñ
kamān-e-vasl khiñchī mil ga.e sire donoñ
buland aise na rutbe kisī nabī ke hue
zahe-nasīb ki ham ummatī usī ke hue
barraq-e-fikr hai gardun-naward aaj ki raat
hawa uDti hai taron ki gird aaj ki raat
ye kaun zehn ke raushan makan mein utra
KHayal-e-surat-e-jibril dhyan mein utra
hai KHam rasai-e-insan pe faslon ki jabin
bulandiyon pe kamanden uchhaalti hai zamin
ye raat kyun na ho afzal tamam raaton mein
liye hue hain andhere charagh hathon mein
wo raat jis ka zamana jawab la na sake
milae aankh to suraj bhi tab la na sake
wo raat jis ne hasin KHwab jag kar dekha
wo raat jis ne mohammad ko arsh par dekha
gaya tha ishq KHalaon ki rah se aage
nigah jati hai hadd-e-nigah se aage
ruki ruki nazar aati thi nabz aalam ki
guzar rahi thi sawari rasul-e-akram ki
rawan the sath farishte aba uThae hue
fazaen katba-e-salle-ala uThae hue
uruj-e-adamiyat aap par tamam hua
KHuda KHud apne hi jalwon se ham-kalam hua
tajalliyat ke haale mein yun ghire donon
kaman-e-wasl khinchi mil gae sire donon
buland aise na rutbe kisi nabi ke hue
zahe-nasib ki hum ummati usi ke hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.