lam-yalid wa lam yulad
ye zamīñ ye falak
un se aage talak
jitnī duniyā.eñ haiñ
sab meñ terī jhalak sab se lekin judā
ai ḳhudā ai ḳhudā
har sahr phūTtī hai na.e rañg se
sabza-o-gul khileñ sīna-e-sañg se
gūñjtā hai jahāñ tere āhañg se
jis ne kī justujū
mil gayā us ko tū sab kā tū rahnumā
ai ḳhudā ai ḳhudā
har sitāre meñ ābād hai ik jahāñ
chāñd-sūraj tirī raushnī ke nishāñ
pattharoñ ko bhī tū ne atā kī zabāñ
jānvar aadmī
kar rahe haiñ sabhī terī hamd-o-sanā
ai ḳhudā ai ḳhudā
nuur hī nuur bikhrā hai kālik nahīñ
dūsrā koī hadd-e-gumāñ tak nahīñ
terī vahdāniyat meñ koī shak nahīñ
laakh hoñ sūrateñ
ek hī rañg meñ tū hai jalva-numā
ai ḳhudā ai ḳhudā
sauñp kar mansab-e-ādamiyat mujhe
tū ne baḳhshī hai apnī ḳhilāfat mujhe
shauq-e-sajda bhī kar ab ināyat mujhe
ḳham rahe merā sar
terī dahlīz par hai yahī iltijā
ai ḳhudā ai ḳhudā
ye zamin ye falak
un se aage talak
jitni duniyaen hain
sab mein teri jhalak sab se lekin juda
ai KHuda ai KHuda
har sahr phuTti hai nae rang se
sabza-o-gul khilen sina-e-sang se
gunjta hai jahan tere aahang se
jis ne ki justuju
mil gaya us ko tu sab ka tu rahnuma
ai KHuda ai KHuda
har sitare mein aabaad hai ek jahan
chand-suraj teri raushni ke nishan
pattharon ko bhi tu ne ata ki zaban
jaanwar aadmi
kar rahe hain sabhi teri hamd-o-sana
ai KHuda ai KHuda
nur hi nur bikhra hai kalik nahin
dusra koi hadd-e-guman tak nahin
teri wahdaniyat mein koi shak nahin
lakh hon suraten
ek hi rang mein tu hai jalwa-numa
ai KHuda ai KHuda
saunp kar mansab-e-adamiyat mujhe
tu ne baKHshi hai apni KHilafat mujhe
shauq-e-sajda bhi kar ab inayat mujhe
KHam rahe mera sar
teri dahliz par hai yahi iltija
ai KHuda ai KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.