lahu ki dhaar
ḳhuun ke chhīñTe jo dekhe vaqt ke kirdār par
zindagī chaltī nazar aa.ī mujhe talvār par
zehn ke sahrā meñ gahrī soch ke ḳheme lage
lashkar-e-taḳh.īl ke chāroñ-taraf pahre lage
lauh kā siina huā chhalnī qalam ke tiir se
naza.a kā aalam jhalaktā hai rag-e-tahrīr se
aag barsī hai ġhamoñ kī zindagī ke khet par
lauTte haiñ phir mire jazbāt jaltī ret par
karb se lau de uThā sho.ala mire ehsās kā
phuuT niklā mere hoñToñ se samundar pyaas kā
chal diyā sū-e-furāt āñkhoñ kā mashkīza liye
lauT aayā rāste se zaḳhm kī iizā liye
ik qayāmat sī bapā hai karbalā-e-zāt meñ
lāsha-e-sibt-e-nabī hai āñsuoñ ke haat meñ
ai husain ibn-e-alī ai turra-o-dastār-e-dīñ
terī buniyādoñ pe hai Thahrī huī dīvār-e-dīñ
nabz-e-qānūn-e-ḳhudā dhaḌkī tire īsār se
tū ne bātil kī rageñ kāTīñ lahū kī dhaar se
ilm vāloñ ko shahādat kā sabaq tū ne diyā
mar ke bhī zinda rahe insāñ ye haq tū ne diyā
qil.a-e-islām kā mazbūt darvāza hai tū
suukh jaa.eñ vaqt kī shāḳheñ tar-o-tāza hai tū
tere ghoḌe ke sumoñ kī ḳhaak mil jaaye agar
maiñ gulāboñ kī tarah chun luuñ sar-e-shāḳh-e-nazar
KHun ke chhinTe jo dekhe waqt ke kirdar par
zindagi chalti nazar aai mujhe talwar par
zehn ke sahra mein gahri soch ke KHeme lage
lashkar-e-taKHil ke chaaron-taraf pahre lage
lauh ka sina hua chhalni qalam ke tir se
naza ka aalam jhalakta hai rag-e-tahrir se
aag barsi hai ghamon ki zindagi ke khet par
lauTte hain phir mere jazbaat jalti ret par
karb se lau de uTha shoala mere ehsas ka
phuT nikla mere honTon se samundar pyas ka
chal diya su-e-furaat aankhon ka mashkiza liye
lauT aaya raste se zaKHm ki iza liye
ek qayamat si bapa hai karbala-e-zat mein
lasha-e-sibt-e-nabi hai aansuon ke hat mein
ai husain ibn-e-ali ai turra-o-dastar-e-din
teri buniyaadon pe hai Thahri hui diwar-e-din
nabz-e-qanun-e-KHuda dhaDki tere isar se
tu ne baatil ki ragen kaTin lahu ki dhaar se
ilm walon ko shahadat ka sabaq tu ne diya
mar ke bhi zinda rahe insan ye haq tu ne diya
qila-e-islam ka mazbut darwaza hai tu
sukh jaen waqt ki shaKHen tar-o-taza hai tu
tere ghoDe ke sumon ki KHak mil jaye agar
main gulabon ki tarah chun lun sar-e-shaKH-e-nazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.