KHwaja-ji
ḳhvāja milan kī pyaas hai dil meñ nainoñ meñ barsāteñ haiñ
tanhā.ī ke chup āñgan meñ merī us se bāteñ haiñ
ḳhvāja mire kā raaz nirālā ḳhvāja mile to rain ujālā
daras banā jag ghor añdherā din apne bhī rāteñ haiñ
jagat-guru kī aañkh kā taarā ḳhvāja-muīnuddīn hamārā
dūlhā hai ajmer nagar kā ghar ghar meñ bārāteñ haiñ
vahdat kasrat ain tarīqat har chehre meñ ek haqīqat
qutub farīd nizām or sābir ek sifat kī zāteñ haiñ
chisht-nagar meñ nis din mele ishq yahāñ mahfil meñ khele
aañkh meñ aañsū lab pe tarāne ye chishtī sauġhāteñ haiñ
rahnā hai har haal meñ raazī ḳhvāja sañg hai jīvan-bāzī
ḳhvāja-jī kī jiit hamesha mujh pāpan kī māteñ haiñ
aañkh se ojhal dil meñ baserā man-mohan hai ḳhvāja merā
'vāsif' us kī priit nirālī us kī anokhī ghāteñ haiñ
KHwaja milan ki pyas hai dil mein nainon mein barsaten hain
tanhai ke chup aangan mein meri us se baaten hain
KHwaja mere ka raaz nirala KHwaja mile to rain ujala
daras bana jag ghor andhera din apne bhi raaten hain
jagat-guru ki aankh ka tara KHwaja-muinuddin hamara
dulha hai ajmer nagar ka ghar ghar mein baraaten hain
wahdat kasrat ain tariqat har chehre mein ek haqiqat
qutub farid nizam or sabir ek sifat ki zaten hain
chisht-nagar mein nis din mele ishq yahan mahfil mein khele
aankh mein aansu lab pe tarane ye chishti saughaten hain
rahna hai har haal mein raazi KHwaja sang hai jiwan-bazi
KHwaja-ji ki jit hamesha mujh papan ki maten hain
aankh se ojhal dil mein basera man-mohan hai KHwaja mera
'wasif' us ki prit nirali us ki anokhi ghaten hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.