karwan-e-hayat
kārvān-e-zindagī paiham ravāñ hai sub.h-o-shām
is fanā ke des meñ hāsil huā kis ko qayām
phuul jo khiltā hai vah ek din yahāñ murjhā.egā
ye sarā-e-fānī hai jo aa.egā vo jā.egā
apnī apnī manziloñ par haiñ sitāre gāmzan
sub.h-dam ḳhāmosh ho jaatī hai saarī anjuman
raat ke dāman se aa lagtā hai nūr-e-āftāb
shaam pahnāne chalī aatī hai sūraj ko naqāb
jagmagātī sub.h kī taqdīr kaalī shaam hai
zindagī kī dhaḌkanoñ kā maut hī anjām hai
likhne vaale ne likhā hastī kī qismat meñ zavāl
haañ magar baaqī rahegī zāt-e-rabb-e-zul-jalāl
mard kāmil hai vahī jo manzileñ tai kar gayā
zindagī us kī hai jo marne se pahle mar gayā
maut kyā hai haq se bande ko milāne kā sabab
maut se Darte nahīñ jo jāgte haiñ nīm-shab
piir paiġhambar valī darvesh mardān-e-ḳhudā
maut kī vaadī se guzre haiñ ba-taslīm-o-razā
zindagī aur maut hai apnī ḳhudā ke vāste
mard-e-momin hai faqat sabr-o-razā ke vāste
saañs kī aarī se kaT jaatā hai hastī kā shajar
zindagī meñ maut se mumkin nahīñ hargiz mafar
hashr barpā haiñ ka.ī ik jazba-e-ḳhāmosh meñ
zindagī sotī hai āḳhir maut kī āġhosh meñ
roz-e-avval se yahī hai zindagī kā silsila
maut kyā hai zindagī kā āḳhirī ek marhala
barq meñ tinke haiñ 'vāsif' yā ki hai tinkoñ meñ barq
maut aur hastī meñ kyā samjhe koī insān farq
karwan-e-zindagi paiham rawan hai subh-o-sham
is fana ke des mein hasil hua kis ko qayam
phul jo khilta hai wah ek din yahan murjhaega
ye sara-e-fani hai jo aaega wo jaega
apnī apnī manzilon par hain sitare gamzan
subh-dam KHamosh ho jati hai sari anjuman
raat ke daman se aa lagta hai nur-e-aftab
sham pahnane chali aati hai suraj ko naqab
jagmagati subh ki taqdir kali sham hai
zindagi ki dhaDkanon ka maut hi anjam hai
likhne wale ne likha hasti ki qismat mein zawal
han magar baqi rahegi zat-e-rabb-e-zul-jalal
mard kaamil hai wahi jo manzilen tai kar gaya
zindagi us ki hai jo marne se pahle mar gaya
maut kya hai haq se bande ko milane ka sabab
maut se Darte nahin jo jagte hain nim-shab
pir paighambar wali darwesh mardan-e-KHuda
maut ki wadi se guzre hain ba-taslim-o-raza
zindagi aur maut hai apnī KHuda ke waste
mard-e-momin hai faqat sabr-o-raza ke waste
sans ki aari se kaT jata hai hasti ka shajar
zindagi mein maut se mumkin nahin hargiz mafar
hashr barpa hain kai ek jazba-e-KHamosh mein
zindagi soti hai aaKHir maut ki aaghosh mein
roz-e-awwal se yahi hai zindagi ka silsila
maut kya hai zindagi ka aaKHiri ek marhala
barq mein tinke hain 'wasif' ya ki hai tinkon mein barq
maut aur hasti mein kya samjhe koi insan farq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.