baba guru nanak
āshnā-e-rāz-e-vahdat kashif-e-sirr-e-ḳhafī
daulat-e-irfāñ ba-unvān-e-digar tujh ko milī
rāhat-e-qalb-o-jigar mehrāb-e-jāñ ke pesh-imām
nek fitrat nek sūrat nek ḳhaslat nek naam
dardmandoñ ke masīhā bekasoñ ke chāragar
shaam kī tārīkiyoñ meñ jalva-e-nūr-e-sahar
qāfilā-e-sālār-e-millat nā-ḳhudā-e-mulk-o-qaum
ḳhizr-e-manzil rahbar-e-dānā asā-e-mulk-o-qaum
sar pe dastār-e-fazīlat ruḳh pe nūr-e-kā.enāt
vāqa.ī sad lā.eq-e-tāzīm hai terī hayāt
lafz-e-ulfat kī mukammal sharh ik terā vajūd
āshiqī meñ toḌ Dālīñ zāhirī saarī quyūd
thā tavakkul aur istiġhnā shi.ār-e-zindagī
bhuuk kī shiddat meñ ik daane kī bhī ḳhvāhish na kī
tere qadmoñ pe shahanshāhoñ kī peshānī jhukī
al-ġharaz hastī tirī sad lā.eq-e-tahsīn thī
peshvā rahbar guru darvesh aamil aur faqīr
tujh ko hāsil the ye rutbe ai amīroñ ke amiir
haiñ amal-pairā tirī ta.alīm par ahal-e-tamīz
isliye haiñ aaj bhī duniyā meñ vo har dil 'azīz'
aashna-e-raaz-e-wahdat kashif-e-sirr-e-KHafi
daulat-e-irfan ba-unwan-e-digar tujh ko mili
rahat-e-qalb-o-jigar mehrab-e-jaan ke pesh-imam
nek fitrat nek surat nek KHaslat nek nam
dardmandon ke masiha bekason ke chaaragar
sham ki tarikiyon mein jalwa-e-nur-e-sahar
qafila-e-salar-e-millat na-KHuda-e-mulk-o-qaum
KHizr-e-manzil rahbar-e-dana asa-e-mulk-o-qaum
sar pe dastar-e-fazilat ruKH pe nur-e-kaenat
waqai sad laeq-e-tazim hai teri hayat
lafz-e-ulfat ki mukammal sharh ek tera wajud
aashiqi mein toD Dalin zahiri sari quyud
tha tawakkul aur istighna shiar-e-zindagi
bhuk ki shiddat mein ek dane ki bhi KHwahish na ki
tere qadmon pe shahanshahon ki peshani jhuki
al-gharaz hasti teri sad laeq-e-tahsin thi
peshwa rahbar guru darwesh aamil aur faqir
tujh ko hasil the ye rutbe ai amiron ke amir
hain amal-paira teri talim par ahal-e-tamiz
isliye hain aaj bhi duniya mein wo har dil 'aziz'
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 223)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.