hasnain kii hasnain ke aasaar kii jai ho
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت امام حسین (کربلا-ایران)
hasnain kii hasnain ke aasaar kii jai ho
jai sovarg ke mahraaj kii sardaar kii jai ho
qurbaan hu.e aap jo islaam kii KHaatir
shabbiir-e-vafaadaar kii KHuddaar kii jai ho
hai.n pusht pe hasnain to sajde me.n nabii hai.n
naanaa ke usii laaD kii aur pyaar kii jai ho
karbal me.n kaTaa sar jo vahii sar hai fat.h-yaab
us sar ke har ik muu-e-vafaadaar kii jai ho
jannat ke daroGa ne bhii ye naa'ra lagaayaa
jannat ke javaa.n logo.n ke sardaar kii jai ho
jis ne ki dar-e-KHaibar-e-sahyuun ukhaa.Daa
daamaad-e-nabii haidar-e-karraar kii jai ho
maulaa kaa dhanya-vaad ho zahraa kii ho mid.hat
yaa'nii ki har ik saahib at.haar kii jai ho
aataa hai moharram to chhalak jaate hai.n aa.nsuu
shabbiir kii shabbar ke Gam-KHvaar kii jai ho
laa'nat ho yaziidii pe ki laa'nat ke hai.n haqdaar
as.haab-e-husainii kii ’azaa-daar kii jai ho
ash'aar me.n hasnain kii jaykaar likhii hai
'shaayaan' kii shaayaa.n ke ash'aar kii jai ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.