Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ba-vaqt-e-imtihaa.n mahshar me.n jab mai-KHvaar aa.e.nge

Azizuddin Rizwan Qadri

MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri

    ba-vaqt-e-imtihaa.n mahshar me.n jab mai-KHvaar aa.e.nge

    sanad baKHshish kii le kar KHud mere sarkaar aa.e.nge

    hamaare madrase me.n jo pa.Dhaate hai.n dikhaate hai.n

    agar KHvaahish hai to KHud taalib-e-diidaar aa.e.nge

    agar maa'luum ho jaa.e ki kitne sar-phire hai.n ham

    rishte qabr me.n do kii bajaa.e chaar aa.e.nge

    sukuun-e-dil kii KHvaahish hai to mai-KHaane me.n aa baiTho

    usii baiThak me.n baKHshish ke nazar aasaar aa.e.nge

    agar hai zarf to raah-e-mohabbat me.n qadam rakhnaa

    ka.ii ik marhale is raah me.n dushvaar aa.e.nge

    tasavvuf kaa ye mai-KHaana shifaa-KHaana banaa 'rizvaa.n'

    davaa jis kii nahii.n aise yahaa.n biimaar aa.e.nge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now