gumbad-e-kHazraa kaa ’aks-e-pur-ziyaa hai piliphit

Anwar Ahmad Qadri
MORE BYAnwar Ahmad Qadri
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت شاہ جی محمد شیر میاں (پیلی بھیت-اتر پردیش)
gumbad-e-kHazraa kaa ’aks-e-pur-ziyaa hai piliphit
sher-e-ahmad sher-e-haidar kaa pata hai piliphit
raah-e-haq nuur-e-sarii’at kaa rahaa hai piliphit
aur tariiqat ke usuulo.n kii jilaa hai piliphit
jo vilaayat ke falak par ban ke misl-e-kahkashaa.n
chup kaa fazl-e-haq se aur chamkaa rahaa hai piliphit
us kii ho jaa.egii taiba tak rasaa.ii bil-yaqii.n
jo 'aqiidat se dar-e-shaah jii gayaa hai piliphit
aa'laa hazrat par 'ataa.e.n kis qadar shaah jii kii thii.n
baarhaa jaanaa hame.n batlaa rahaa hai piliphit
nisbato.n kaa saudaa karte phir rahe hai.n vo kare.n
haajato.n kaa apnii markaz baa-KHudaa hai piliphit
faiz-e-baGdaadii-o-sirhindii jamaalii hai ravaa.n
is liye sab ke dilo.n kaa mudda'aa hai piliphit
mai.n muKHaalif se Daruu.n 'anvaar' ye mumkin nahii.n
Gaus-o-kHvaaja aur madad pur baa-KHudaa hai piliphit

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.