mujhe kya qarar nasib ho meri aaj tak talabi nahin
mujhe kyā qarār nasīb ho merī aaj tak talabī nahīñ
maiñ hanūz tishna-e-dīd huuñ jo lagī huī hai bujhī nahīñ
vo aable haiñ vahī jalan koī soz-e-ġham meñ kamī nahīñ
jo lagā ke aag ga.e ho tum vo lagī huī hai bujhī nahīñ
vahī soz hai vahī saaz hai vo ḳhalish bhī hai jo miTTī nahīñ
vahī dard letā hai chuTkiyāñ rag-e-jāñ meñ jis kī kamī nahīñ
merī mastiyoñ meñ davām hai merī mastiyoñ meñ kamī nahīñ
ye surūr-e-’ishq-e-rasūl hai ye ḳhumār-e-bāda-kashī nahīñ
terā nuur nūr-e-qadīm hai terī zaat zāt-e-'azīm hai
tū ḳhudā nahīñ to nahīñ sahī ye sifāt bhī basharī nahīñ
tū nazar nazar se pilā.e jā merī mastiyoñ ko baḌhā.e jā
tere dam-qadam kī hī ḳhair ho abhī pyaas dil kī bujhī nahīñ
ye karam hai rabb-e-karīm kā ki amīn-e-maqsad-e-'ishq huuñ
tere āstāñ ke sivā kahīñ ye jabīn-e-shauq jhukī nahīñ
mujhe kya qarar nasib ho meri aaj tak talabi nahin
main hanuz tishna-e-did hun jo lagi hui hai bujhi nahin
wo aable hain wahi jalan koi soz-e-gham mein kami nahin
jo laga ke aag gae ho tum wo lagi hui hai bujhi nahin
wahi soz hai wahi saz hai wo KHalish bhi hai jo miTTi nahin
wahi dard leta hai chuTkiyan rag-e-jaan mein jis ki kami nahin
meri mastiyon mein dawam hai meri mastiyon mein kami nahin
ye surur-e-’ishq-e-rasul hai ye KHumar-e-baada-kashi nahin
tera nur nur-e-qadim hai teri zat zat-e-'azim hai
tu KHuda nahin to nahin sahi ye sifat bhi bashari nahin
tu nazar nazar se pilae ja meri mastiyon ko baDhae ja
tere dam-qadam ki hi KHair ho abhi pyas dil ki bujhi nahin
ye karam hai rabb-e-karim ka ki amin-e-maqsad-e-'ishq hun
tere aastan ke siwa kahin ye jabin-e-shauq jhuki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.