rafta-rafta ye jahan bilkul fana ho jaega
rafta-rafta ye jahāñ bilkul fanā ho jā.egā
ek din ābād sab mulk-e-baqā ho jā.egā
laḳht-e-dil nūr-e-nazar koī nahīñ āvegā kaam
paar jab hulqūm ke tīr-e-qazā ho jā.egā
gul-sā ruḳh nargis-sī āñkheñ ḳhaak meñ mil jā.eñgī
jab zamīn-e-qabr par bistar tirā ho jā.egā
lag gayā jis dam tamāñcha maut kā ai pahlavān
dast-o-pā har ek phir tan se judā ho jā.egā
jiite jī ke yaar haiñ ye sab ’azīz-o-aqribā
gor meñ rakh kar tujhe har ik judā ho jā.egā
haath ḳhālī jā.egā is 'ālam-e-fānī se tū
'umr kā labrez jab pyāla tirā ho jā.egā
'umr-e-do-roza ye kyuuñ phirtā hai bhūlā ai 'valī'
dekh lenā ek din tū bhī fanā ho jā.egā
rafta-rafta ye jahan bilkul fana ho jaega
ek din aabaad sab mulk-e-baqa ho jaega
laKHt-e-dil nur-e-nazar koi nahin aawega kaam
par jab hulqum ke tir-e-qaza ho jaega
gul-sa ruKH nargis-si aankhen KHak mein mil jaengi
jab zamin-e-qabr par bistar tera ho jaega
lag gaya jis dam tamancha maut ka ai pahlawan
dast-o-pa har ek phir tan se juda ho jaega
jite ji ke yar hain ye sab ’aziz-o-aqriba
gor mein rakh kar tujhe har ek juda ho jaega
hath KHali jaega is 'alam-e-fani se tu
'umr ka labrez jab pyala tera ho jaega
'umr-e-do-roza ye kyun phirta hai bhula ai 'wali'
dekh lena ek din tu bhi fana ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.