kahon kya haal zahid wadi-e-taiba ki nuzhat ka
kahon kya haal zahid wadi-e-taiba ki nuzhat ka
Hassan Raza Barelvi
MORE BYHassan Raza Barelvi
kahoñ kyā haal zāhid vādī-e-taiba kī nuzhat kā
ki hai ḳhuld-e-barīñ chhoTā sā TukḌā merī jannat kā
bulāte haiñ usī ko jis kī pagḌī vo banāte haiñ
kamar bandhnā dayār taiba ko khulnā hai qismat kā
na kar rusvā-e-mahshar vāsta mahbūb kā yā-rab
ye mujrim duur se aayā hai sun kar naam rahmat kā
murādeñ māñgne se pahle miltī haiñ madīna meñ
hujūm-e-jūd ne rokā hai baḌhnā dast-e-hājat kā
shab-e-asrā tire jalve ne kuchh aisā samāñ bāñdhā
ke ab tak 'arsh ā'zam muntazir muntazir tairī terī kā kā
yahāñ ke Dūbte dam meñ udhar jā kar ubharte haiñ
kinārā ek hai nahr-e-nadāmat bahr-e-rahmat kā
ġhanī hai dil bharā hai ne'amat-e-kaunain se dāman
gadā huuñ maiñ faqīr-e-āstān-e-ḳhud badaulat kā
ilāhī bā'd-e-murdan parda-hā-e-hā.il uTh jaa.eñ
ujālā mere marqad meñ ho un kī sham'-e-qurbat kā
sunā hai roz-e-mahshar aap hī kā muñh takeñge sab
kahāñ puurā huā matlab dil-e-mushtāq-e-rūyat kā
hameñ bhī yaad rakhnā sakinān-e-khūcha-e-jānāñ
salām-e-shauq pahuñche be-kasān-e-dast-e-ġhurbat kā
'hasan' sarkār-e-taiba kā 'ajab darbār-e-'ālī hai
dar-e-daulat pe ik melā lagā hai ahl-e-hājat kā
kahon kya haal zahid wadi-e-taiba ki nuzhat ka
ki hai KHuld-e-barin chhoTa sa TukDa meri jannat ka
bulate hain usi ko jis ki pagDi wo banate hain
kamar bandhna dayar taiba ko khulna hai qismat ka
na kar ruswa-e-mahshar wasta mahbub ka ya-rab
ye mujrim dur se aaya hai sun kar nam rahmat ka
muraden mangne se pahle milti hain madina mein
hujum-e-jud ne roka hai baDhna dast-e-hajat ka
shab-e-asra tere jalwe ne kuchh aisa saman bandha
ke ab tak 'arsh aa'zam muntazir muntazir tairi teri ka ka
yahan ke Dubte dam mein udhar ja kar ubharte hain
kinara ek hai nahr-e-nadamat bahr-e-rahmat ka
ghani hai dil bhara hai ne'amat-e-kaunain se daman
gada hun main faqir-e-astan-e-KHud badaulat ka
ilahi ba'd-e-murdan parda-ha-e-hail uTh jaen
ujala mere marqad mein ho un ki sham'-e-qurbat ka
suna hai roz-e-mahshar aap hi ka munh takenge sab
kahan pura hua matlab dil-e-mushtaq-e-ruyat ka
hamein bhi yaad rakhna sakinan-e-khucha-e-jaanan
salam-e-shauq pahunche be-kasan-e-dast-e-ghurbat ka
'hasan' sarkar-e-taiba ka 'ajab darbar-e-'ali hai
dar-e-daulat pe ek mela laga hai ahl-e-hajat ka
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 114)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.