bazm-e-dil mein hamein raushni ke liye ab koi husn wala nahin chahiye
bazm-e-dil meñ hameñ raushnī ke liye ab koī husn vaalā nahīñ chāhiye
jis diye meñ jale tel ḳhairāt kā us diye kā ujālā nahīñ chāhiye
sone-chāñdī ke luqme mubārak tumheñ jau kī ik ḳhushk roTī bahut hai mujhe
zahr ban jaa.e jo zindagī ke liye mujh ko aisā nivālā nahīñ chāhiye
ġhairat-e-'ishq bhī to koī chiiz hai merā kaasa hai ḳhālī to ḳhālī rahe
jo madad de ke ḳhuddāriyāñ chhīn le is tarah dene vaalā nahīñ chāhiye
mere fan se mile kuchh to le lo 'zafar' mujh ko rahne do gumnāmiyoñ meñ magar
sastī shohrat kī mujh ko zarūrat nahīñ naam kā bol-bālā nahīñ chāhiye
bazm-e-dil mein hamein raushni ke liye ab koi husn wala nahin chahiye
jis diye mein jale tel KHairaat ka us diye ka ujala nahin chahiye
sone-chandi ke luqme mubarak tumhein jau ki ek KHushk roTi bahut hai mujhe
zahr ban jae jo zindagi ke liye mujh ko aisa niwala nahin chahiye
ghairat-e-'ishq bhi to koi chiz hai mera kasa hai KHali to KHali rahe
jo madad de ke KHuddariyan chhin le is tarah dene wala nahin chahiye
mere fan se mile kuchh to le lo 'zafar' mujh ko rahne do gumnamiyon mein magar
sasti shohrat ki mujh ko zarurat nahin nam ka bol-baala nahin chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.