kabhi to chhaTega faza se andhera kabhi to madhur chandni raat hogi

kabhi to chhaTega faza se andhera kabhi to madhur chandni raat hogi
Maqbool Ahmed Sabri
MORE BYMaqbool Ahmed Sabri
kabhī to chhaTegā fazā se añdherā kabhī to madhur chāñdnī raat hogī
kabhī to jaleñge charāġh-e-mohabbat usī roz un se mulāqāt hogī
agar dam-badam vo hameñ yaad aa.eñ shab-e-ġham kī tārīk tanhā.iyoñ meñ
to bikhreñgī zulfeñ to chhā.eñge bādal jo Tapkeñge aañsū vo barsāt hogī
ġhazab hai idhar merī jaañ pe banī hai udhar un ke paañv meñ mehñdī lagī hai
agar aise 'ālam meñ bhī tum na aa.e to kyā hashr ke din mulāqāt hogī
marīz-e-mohabbat kā hai vaqt-e-āḳhir ḳhudā ke liye ab chale bhī to aao
agar tum na aa.e ai jān-e-masīhā to ye raat phir āḳhirī raat hogī
judā.ī ke lamhe qarīb aa ga.e haiñ sitāroñ ke dil Dūbte jā rahe haiñ
idhar aao tum ko gale se lagā luuñ ḳhudā jaane phir kab mulāqāt hogī
ye duniyā do-rañgī 'ajab 'ishq kī bāteñ agar pyaar māñgo to hasrat milegī
chaman zindagī ke hazāroñ khileñge magar ek dil kī kalī na milegī
fazā chup ghaTā chup zamīñ āsmāñ chup chaman chup kalī chup haiñ aur kahkashāñ chup
udhar vo bhī chup haiñ idhar maiñ bhī chup huuñ ilāhī merī raat kaise kaTegī
kahīñ giit gūñjegī shahnā.iyoñ ke kahīñ āh-o-zārī kahīñ shor-e-mātam
kisī kā kahīñ se janāza uThegā kisī ghar se dūlhan kī Dolī uThegī
lage har qadam par hasīnoñ ke mele kisī ne kabhī 'maqbūl' itnā na pūchhā
kahāñ jā rahe ho akele-akele rah-e-zindagī yuuñ na tanhā kaTegī
kabhi to chhaTega faza se andhera kabhi to madhur chandni raat hogi
kabhi to jalenge charagh-e-mohabbat usi roz un se mulaqat hogi
agar dam-badam wo hamein yaad aaen shab-e-gham ki tarik tanhaiyon mein
to bikhrengi zulfen to chhaenge baadal jo Tapkenge aansu wo barsat hogi
ghazab hai idhar meri jaan pe bani hai udhar un ke panw mein mehndi lagi hai
agar aise 'alam mein bhi tum na aae to kya hashr ke din mulaqat hogi
mariz-e-mohabbat ka hai waqt-e-aKHir KHuda ke liye ab chale bhi to aao
agar tum na aae ai jaan-e-masiha to ye raat phir aaKHiri raat hogi
judai ke lamhe qarib aa gae hain sitaron ke dil Dubte ja rahe hain
idhar aao tum ko gale se laga lun KHuda jaane phir kab mulaqat hogi
ye duniya do-rangi 'ajab 'ishq ki baaten agar pyar mango to hasrat milegi
chaman zindagi ke hazaron khilenge magar ek dil ki kali na milegi
faza chup ghaTa chup zamin aasman chup chaman chup kali chup hain aur kahkashan chup
udhar wo bhi chup hain idhar main bhi chup hun ilahi meri raat kaise kaTegi
kahin git gunjegi shahnaiyon ke kahin aah-o-zari kahin shor-e-matam
kisi ka kahin se janaza uThega kisi ghar se dulhan ki Doli uThegi
lage har qadam par hasinon ke mele kisi ne kabhi 'maqbul' itna na puchha
kahan ja rahe ho akele-akele rah-e-zindagi yun na tanha kaTegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.