iman mein shigaf amal mein KHalal paDa
īmān meñ shigāf 'amal meñ ḳhalal paḌā
parde se jab vo nūr-e-mujassam nikal paḌā
aa.ī ajal to dekh ke ik dam uchhal paḌī
jis dam zabāñ se merī anal-haq nikal paḌā
qurbān aisī shān-e-karīmī ke jā.iye
mahshar meñ rahmatoñ kā samundar ubal paḌā
manzil kahāñ kī justujū kaisī kahāñ kā 'ishq
jis samt se maiñ niklā usī samt chal paḌā
ye apne dahriyāna ḳhayāloñ ko dekh kar
iblīs ko ghamanD thā vo bhī uchhal paḌā
ganj-e-ḳhafī meñ 'ālam tanhā.ī saḳht thī
is vāste vo ḳhaak ke sāñche meñ Dhal paḌā
'rizvāñ' na hogī ḳhatm kabhī apnī justujū
ek nukta hal huā nayā nukta nikal paḌā
iman mein shigaf 'amal mein KHalal paDa
parde se jab wo nur-e-mujassam nikal paDa
aai ajal to dekh ke ek dam uchhal paDi
jis dam zaban se meri anal-haq nikal paDa
qurban aisi shan-e-karimi ke jaiye
mahshar mein rahmaton ka samundar ubal paDa
manzil kahan ki justuju kaisi kahan ka 'ishq
jis samt se main nikla usi samt chal paDa
ye apne dahriyana KHayalon ko dekh kar
iblis ko ghamanD tha wo bhi uchhal paDa
ganj-e-KHafi mein 'alam tanhai saKHt thi
is waste wo KHak ke sanche mein Dhal paDa
'rizwan' na hogi KHatm kabhi apni justuju
ek nukta hal hua naya nukta nikal paDa
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.