asar soz-e-tamanna ka jo kaamil hota jata hai
asar soz-e-tamannā kā jo kāmil hotā jaatā hai
nigāh-e-lutf kā markaz mirā dil hotā jaatā hai
mirī vāraftagī gum-gashtagī baḌhtī rahī yā-rab
ki ab dil āshnā-e-rāh-e-manzil hotā jaatā hai
baḌhātā jā rahā huuñ rafta-rafta husn-e-betābī
dil-e-mahzūñ tirī nazroñ ke qābil hotā jaatā hai
adāoñ se nigāhoñ se ḳhamoshī se takallum se
husūl-e-ārzū manzil ba-manzil hotā jaatā hai
vo jitne mujh se braham aur braham hote jaate haiñ
mirā dil aur maa.il aur maa.il hotā jaatā hai
nigāh-e-nāz-e-jānāñ be-niyāz-e-dil sahī 'vāsif'
magar hubb-e-tamannā rañg-e-mahfil hotā jaatā hai
asar soz-e-tamanna ka jo kaamil hota jata hai
nigah-e-lutf ka markaz mera dil hota jata hai
meri waraftagi gum-gashtagi baDhti rahi ya-rab
ki ab dil aashna-e-rah-e-manzil hota jata hai
baDhata ja raha hun rafta-rafta husn-e-betabi
dil-e-mahzun teri nazron ke qabil hota jata hai
adaon se nigahon se KHamoshi se takallum se
husul-e-arzu manzil ba-manzil hota jata hai
wo jitne mujh se braham aur braham hote jate hain
mera dil aur mail aur mail hota jata hai
nigah-e-naz-e-jaanan be-niyaz-e-dil sahi 'wasif'
magar hubb-e-tamanna rang-e-mahfil hota jata hai
- Book : علی گڑھ میگزین (Pg. 282)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.