wajh-e-naraazi teri ai mehrban khulti nahin
vaj.h-e-nārāzī tirī ai mehrbāñ khultī nahīñ
mere bhī dil hai magar merī zabāñ khultī nahīñ
sadd-e-āzādī hai qaid-e-shakl-e-insānī mujhe
mujh pe ye poshāk ab ai rāz-dāñ khultī nahīñ
tū Thahartā hai to ho jaatī hai dūbhar zindagī
terī kaifiyat bhī ai dard-e-nihāñ khultī nahīñ
haaye kis se pūchhiye rūdād-e-qatl-e-āshiqāñ
ai tirī vo aañkh jis kī dāstāñ khultī nahīñ
muntazir huuñ maiñ ki shāyad kuchh mujhe taskīn de
sun ke merā haal chashm-e-rāz-dāñ khultī nahīñ
ek dam bhātī nahīñ be-soz bazm-e-husn-e-gul
barq aa baiThe agar bulbul nasheman meñ nahīñ
mujh ko ġhairat hai ki kyuuñ mulzim hai husn-e-be-zabāñ
barq meñ kyā chiiz hai aisī ki ḳhirman meñ nahīñ
dil meñ be-kaifī hai yūsuf ke jo dāman chaak hai
dil meñ vo kuchh hai zulaiḳhā ke jo dāman meñ nahīñ
mere dil kā haal tum ḳhalvat meñ chal kar pūchhnā
bazm-e-dushman kī shikāyat bazm-e-dushman meñ nahīñ
wajh-e-naraazi teri ai mehrban khulti nahin
mere bhi dil hai magar meri zaban khulti nahin
sadd-e-azadi hai qaid-e-shakl-e-insani mujhe
mujh pe ye poshak ab ai raaz-dan khulti nahin
tu Thaharta hai to ho jati hai dubhar zindagi
teri kaifiyat bhi ai dard-e-nihan khulti nahin
haye kis se pūchhiye rudad-e-qatl-e-ashiqan
ai teri wo aankh jis ki dastan khulti nahin
muntazir hun main ki shayad kuchh mujhe taskin de
sun ke mera haal chashm-e-raaz-dan khulti nahin
ek dam bhati nahin be-soz bazm-e-husn-e-gul
barq aa baiThe agar bulbul nasheman mein nahin
mujh ko ghairat hai ki kyun mulzim hai husn-e-be-zaban
barq mein kya chiz hai aisi ki KHirman mein nahin
dil mein be-kaifi hai yusuf ke jo daman chaak hai
dil mein wo kuchh hai zulaiKHa ke jo daman mein nahin
mere dil ka haal tum KHalwat mein chal kar puchhna
bazm-e-dushman ki shikayat bazm-e-dushman mein nahin
- Book : Maikada (Pg. 43)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.