han muyassar jo tawaf-e-dar-e-jaanan ho jae
haañ muyassar jo tavāf-e-dar-e-jānāñ ho jaa.e
sirf fariyād meñ kyuuñ 'umr gurezāñ ho jaaye
us meñ bas jaa.e agar rū-e-mohammad kī bahār
rashk-e-sad tuur hamārā dil-e-vīrāñ ho jaaye
shauq-e-dīdār meñ us nargis-e-jādū kā shahīd
chāhtā hai hama-tan dīdan-e-hairāñ ho jaa.e
jab ho tum pesh-e-nazar ḳhud hī batāo kyuuñ kar
muḳhtasar ab gila-e-tañgī-e-dāmāñ ho jaa.e
maiñ huuñ vo kushta-e-ġham jis kī hayāt ai 'fazlī'
panja-e-maut se bhī dast-o-garebāñ ho jaa.e
han muyassar jo tawaf-e-dar-e-jaanan ho jae
sirf fariyaad mein kyun 'umr gurezan ho jaye
us mein bas jae agar ru-e-mohammad ki bahaar
rashk-e-sad tur hamara dil-e-viran ho jaye
shauq-e-didar mein us nargis-e-jadu ka shahid
chahta hai hama-tan didan-e-hairan ho jae
jab ho tum pesh-e-nazar KHud hi batao kyun kar
muKHtasar ab gila-e-tangi-e-daman ho jae
main hun wo kushta-e-gham jis ki hayat ai 'fazli'
panja-e-maut se bhi dast-o-gareban ho jae
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 228)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.