dil ko anwar-e-mohammad se farozan kar len
dil ko anvār-e-mohammad se farozāñ kar leñ
sho.ala-e-tūr charāġh-e-tah-e-dāmāñ kar leñ
hasb-e-irshād-e-nabī kar ke jihād-e-akbar
pahle apne dil-e-kāfir ko musalmāñ kar leñ
phir uTheñ ho ke ham āmāda-e-har karb-o-balā
sar-ba-sar pairvī-e-shāh-e-shahīdāñ kar leñ
dar-e-jānāñ pe guzar apnā jab hī mumkin hai
'ishq se 'ahd kareñ dard se paimāñ kar leñ
ab irāda hai musammam ki kareñ tark-e-vatan
aur maskan ba-sar kūcha-e-jānāñ kar leñ
mash'al-e-rāh-e-'adam chāhiye 'ushshāq ko kyā
dāġh-e-dil apne zarā aur numāyāñ kar leñ
vo jo aate haiñ pareshānoñ kī pursish ke liye
ham zarā aur bhī haal apnā pareshāñ kar leñ
manzil-e-gor kī zulmat ke liye ham 'fazlī'
’aks-e-rukHsār-e-nabī sham’-e-shabistāñ kar leñ
dil ko anwar-e-mohammad se farozan kar len
shoala-e-tur charagh-e-tah-e-daman kar len
hasb-e-irshad-e-nabi kar ke jihad-e-akbar
pahle apne dil-e-kafir ko musalman kar len
phir uThen ho ke hum aamada-e-har karb-o-bala
sar-ba-sar pairwi-e-shah-e-shahidan kar len
dar-e-jaanan pe guzar apna jab hi mumkin hai
'ishq se 'ahd karen dard se paiman kar len
ab irada hai musammam ki karen tark-e-watan
aur maskan ba-sar kucha-e-jaanan kar len
mash'al-e-rah-e-'adam chahiye 'ushshaq ko kya
dagh-e-dil apne zara aur numayan kar len
wo jo aate hain pareshanon ki pursish ke liye
hum zara aur bhi haal apna pareshan kar len
manzil-e-gor ki zulmat ke liye hum 'fazli'
’aks-e-rukHsar-e-nabi sham’-e-shabistan kar len
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 227)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.