Sufinama

pawe kis tarah koi kis ko hai maqdur hamein

Meer Muhammad Bedar

pawe kis tarah koi kis ko hai maqdur hamein

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    paave kis tarah koī kis ko hai maqdūr hameñ

    le gayā ishq tirā khīñch bahut duur hameñ

    sub.h raat to ro ro ke ab aa ai be-mehr

    roz-e-raushan ko dikhā mat shab-e-daijūr hameñ

    rabt ko chāhiye yak nau jinsiyyat yaañ

    chashm-e-bīmār use hai dil-e-ranjūr hameñ

    baat gar kiije to hai banda-navāzī varna

    dekhnā hai faqat aap manzūr hameñ

    ulfat us shoḳh chhūTe hai koī jīte-jī

    rakkho is pand se ai nāseho ma.azūr hameñ

    hai mai raat ko jaage ho tum kuchh to hai

    āñkheñ aatī haiñ nazar aaj to maḳhmūr hameñ

    yahāñ se 'bedār' gayā vo mah-e-tābāñ shāyad

    nazar aatā hai ye ghar aaj to be-nūr hameñ

    pawe kis tarah koi kis ko hai maqdur hamein

    le gaya ishq tera khinch bahut dur hamein

    subh ki raat to ro ro ke ab aa ai be-mehr

    roz-e-raushan ko dikha mat shab-e-daijur hamein

    rabt ko chahiye yak nau ki jinsiyyat yan

    chashm-e-bimar use hai dil-e-ranjur hamein

    baat gar kije to hai banda-nawazi warna

    dekhna hi hai faqat aap ka manzur hamein

    ulfat us shoKH ki chhuTe hai koi jite-ji

    rakkho is pand se ai naseho mazur hamein

    pi hai mai raat ko ya jage ho tum kuchh to hai

    aankhen aati hain nazar aaj to maKHmur hamein

    yahan se 'bedar' gaya wo mah-e-taban shayad

    nazar aata hai ye ghar aaj to be-nur hamein

    Source :
    • Book : Diwan-e-Bedar Edited: Mohammad Husain Mahwi (Pg. 177)
    • Author : Meer Mohammad 'Bedar'
    • Publication : Shahi Press Tizlipkian, Madras (1935)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now