Sufinama

kya shikwa hamein ai dil hum par aawazen jo duniya kasti hai

Niyaz Makanpuri

kya shikwa hamein ai dil hum par aawazen jo duniya kasti hai

Niyaz Makanpuri

MORE BYNiyaz Makanpuri

    kyā shikva hameñ ai dil ham par āvāzeñ jo duniyā kastī hai

    ab ḳhud hamārī hālat par taqdīr hamārī hañstī hai

    ai dost jafāoñ terī kuchh us par navāzish hai varna

    ik qatra-e-kHūn-e-dil ke sivā kyā ashk-e-vafā hastī hai

    rif'at ke fareboñ meñ aa ke naaz na kar maġhrūr na ban

    samjhā hai bulandī tuune jise nādān ye had pastī hai

    majbūr yūñhī majbūr rahā betāb ko kab hai taab milī

    pahle bhī ye duniyā bastī thī aur ab bhī ye duniyā bastī hai

    ye sach hai sitam ke hāthoñ se āzād huā gulshan lekin

    gulchīñ jafā shāḳhoñ par ab bhī vahī chīra-dastī hai

    haañ thā jo irādoñ maskan aur thā jo umañgoñ gulshan

    ye dil hai vahī ab jis dil meñ nākām tamannā bastī hai

    tadbīr ke nāḳhun se jitnī ham kholte haiñ girheñ ġham

    utnī 'niyāz'-e-zār hameñ taqdīr bandish kastī hai

    kya shikwa hamein ai dil hum par aawazen jo duniya kasti hai

    ab KHud hi hamari haalat par taqdir hamari hansti hai

    ai dost jafaon ki teri kuchh us par nawazish hai warna

    ek qatra-e-kHun-e-dil ke siwa kya ashk-e-wafa ki hasti hai

    rif'at ke farebon mein aa ke tu naz na kar maghrur na ban

    samjha hai bulandi tune jise nadan ye had ki pasti hai

    majbur yunhi majbur raha betab ko kab hai tab mili

    pahle bhi ye duniya basti thi aur ab bhi ye duniya basti hai

    ye sach hai sitam ke hathon se aazad hua gulshan lekin

    gulchin jafa ki shaKHon par ab bhi wahi chira-dasti hai

    han tha jo iradon ka maskan aur tha jo umangon ka gulshan

    ye dil hai wahi ab jis dil mein nakaam tamanna basti hai

    tadbir ke naKHun se jitni hum kholte hain girhen gham ki

    utni hi 'niyaz'-e-zar hamein taqdir ki bandish kasti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now