shan-e-wafa to hai agar kar-e-wafa na ho saka
shān-e-vafā to hai agar kār-e-vafā na ho sakā
sar ko jhukā.e rakh agar sajda adā na ho sakā
tere karam se faizyāb kaun gadā na ho sakā
ye to mirā nasīb hai merā bhalā na ho sakā
apnī nazar se pūchh le mere jigar se pūchh le
terā bhī aaj tak koī mere sivā na ho sakā
qalb-e-fareb-e-kHurda ko phir bhī hai us kā e'tibār
jis kā ki aaj tak koī vā'da vafā na ho sakā
‘nakHshab-e-khasta-hāl ne koshisheñ kiiñ hazār-hā
phir bhī ḳhayāl-e-husn-e-dost dil se judā na ho sakā
shan-e-wafa to hai agar kar-e-wafa na ho saka
sar ko jhukae rakh agar sajda ada na ho saka
tere karam se faizyab kaun gada na ho saka
ye to mera nasib hai mera bhala na ho saka
apni nazar se puchh le mere jigar se puchh le
tera bhi aaj tak koi mere siwa na ho saka
qalb-e-fareb-e-kHurda ko phir bhi hai us ka e'tibar
jis ka ki aaj tak koi wa'da wafa na ho saka
‘nakHshab-e-khasta-haal ne koshishen kin hazar-ha
phir bhi KHayal-e-husn-e-dost dil se juda na ho saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.