ghar to donon pas hain lekin mulaqaten kahan
ghar to donoñ paas haiñ lekin mulāqāteñ kahāñ
āmad-o-raft aadmī kī hai pe vo bāteñ kahāñ
ham faqīroñ kī taraf bhī to nigāheñ dam-ba-dam
pheñkte jaate the aap aage vo ḳhairāteñ kahāñ
ba.ad marne ke mere hogī mere rone kī qadr
tab kahā kījiyegā logoñ se vo barsāteñ kahāñ
yuuñ to hai din raat mere dil meñ us kā hī ḳhayāl
jin dinoñ apnī baġhal meñ thā so vo rāteñ kahāñ
jis tarah se kheltā hai vo diloñ kā yaañ shikār
'dard' aatī haiñ kisī dilbar ko vo ghāteñ kahāñ
ghar to donon pas hain lekin mulaqaten kahan
aamad-o-raft aadmi ki hai pe wo baaten kahan
hum faqiron ki taraf bhi to nigahen dam-ba-dam
phenkte jate the aap aage wo KHairaaten kahan
baad marne ke mere hogi mere rone ki qadr
tab kaha kijiyega logon se wo barsaten kahan
yun to hai din raat mere dil mein us ka hi KHayal
jin dinon apni baghal mein tha so wo raaten kahan
jis tarah se khelta hai wo dilon ka yan shikar
'dard' aati hain kisi dilbar ko wo ghaten kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.