hum dil miTa ke manzil-e-taskin pa gae
ham dil miTā ke manzil-e-taskīn pā ga.e
ab zindagī ko jiine ke andāz aa ga.e
barbādiyāñ vo shiddat-e-ehsās de ga.iiñ
ġhuncha bhī koī chaTkā to ham tilmilā ga.e
sau rāste talab ko dikhā.e ummīd ne
jab bhī huā gumān ki manzil pe aa ga.e
duniyā meñ kis se māñgeñ nigāh-e-karam kī bhiik
ham se to hādisāt bhī āñkheñ churā ga.e
ehsās-e-bekasī kī nazākat pe ik nazar
phir un pe tabsira ki jo dāman bachā ga.e
aksar huā hai ye bhī ki pursān-e-hāl bhī
hamdardiyoñ se dard kī shiddat baḌhā ga.e
vo chashm-e-iltifāt-e-gurezāñ bhī ho ga.ī
ahl-e-vafā sila bhī vafāoñ kā pā ga.e
iz.hār ġham meñ dil kā vo 'ālam ki al-amāñ
jumbish huī zabāñ ko to lab thartharā ga.e
aañsū kuchh is tarah se chhalak aa.e ai 'niyāz'
zālim mirī nazar se mujhe bhī girā ga.e
hum dil miTa ke manzil-e-taskin pa gae
ab zindagi ko jine ke andaz aa gae
barbaadiyan wo shiddat-e-ehsas de gain
ghuncha bhi koi chaTka to hum tilmila gae
sau raste talab ko dikhae ummid ne
jab bhi hua guman ki manzil pe aa gae
duniya mein kis se mangen nigah-e-karam ki bhik
hum se to hadisat bhi aankhen chura gae
ehsas-e-bekasi ki nazakat pe ek nazar
phir un pe tabsira ki jo daman bacha gae
aksar hua hai ye bhi ki pursan-e-haal bhi
hamdardiyon se dard ki shiddat baDha gae
wo chashm-e-iltifat-e-gurezan bhi ho gai
ahl-e-wafa sila bhi wafaon ka pa gae
izhaar gham mein dil ka wo 'alam ki al-aman
jumbish hui zaban ko to lab tharthara gae
aansu kuchh is tarah se chhalak aae ai 'niyaz'
zalim meri nazar se mujhe bhi gira gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.