Sufinama

Charagar Shayari

har qadam kashmakash har-nafs uljhaneñ zindagī vaqf hai dard-e-sar ke liye

pahle apne darmāñ ġham thā hameñ ab dvā chāhi.e chārāgar ke li.e

har qadam kashmakash har-nafs uljhanen zindagi waqf hai dard-e-sar ke liye

pahle apne hi darman ka gham tha hamein ab dwa chahie chaaragar ke lie

Shakeel Badayuni

ai chārāgar-e-ḳhush-fahm zarā kuchh aql le kuch hosh le

bīmār-e-mohabbat bhī tujh se nādān kahīñ achhā hogā

ai chaaragar-e-KHush-fahm zara kuchh aql ki le kuch hosh ki le

bimar-e-mohabbat bhi tujh se nadan kahin achha hoga

Kamil Shattari

ġham-e-jānāñ ġham-e-ayyām ke sāñche meñ Dhaltā hai

ke ik ġham dūsre chāragar hai ham na kahte the

gham-e-jaanan gham-e-ayyam ke sanche mein Dhalta hai

ke ek gham dusre ka chaaragar hai hum na kahte the

Wasif Ali Wasif

rah jaaye chand rose jo bīmār-e-ġham ke paas

ḳhud apnā dil dabā.e hue chāragar phire

rah jaye chand rose jo bimar-e-gham ke pas

KHud apna dil dabae hue chaaragar phire

Fana Nizami Kanpuri

zaḳhm-e-ḳhandāñ shukr meñ masrūf hai ai chāragar

jab se phāhā ne rakhā siina ke nāsūr par

zaKHm-e-KHandan shukr mein masruf hai ai chaaragar

jab se phaha tu ne rakha sina ke nasur par

Ibrahim Aajiz

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Speak Now