koi pahno suhagan hari-hari chuDiyan
koī pahno suhāgan harī-harī chuḌiyāñ
galī-galī re manharvā pukāre
koī pahno suhāgan harī harī chuḌiyāñ
mor manharvā chhailā चिकनियाँ
koī pahno khilāḌan harī harī chuḌiyāñ
harī-harī chūḌiyāñ surḳh cuñdariyā
sadā pahno suhāgan harī-harī chuḌiyāñ
paap kī gaThrī sar se utrī
tum pahno bairāgan harī-harī chuḌiyāñ
harī-harī chiḌiyāñ haiñ rañg hasanī
kyuuñ na pahno anāran harī-harī chuḌiyāñ
ġhaus piyā ko jo tum chāho
to pahno suhāgan harī-harī chuḌiyāñ
'abr' kaheñ tum sayyāñ ki pahno
huī jī ho dulāran harī-harī chuḌiyāñ
koi pahno suhagan hari-hari chuDiyan
gali-gali re manharwa pukare
koi pahno suhagan hari hari chuDiyan
mor manharwa chhaila चिकनियाँ
koi pahno khilaDan hari hari chuDiyan
hari-hari chuDiyan surKH cundariya
sada pahno suhagan hari-hari chuDiyan
pap ki gaThri sar se utri
tum pahno bairagan hari-hari chuDiyan
hari-hari chiDiyan hain rang hasani
kyun na pahno anaran hari-hari chuDiyan
ghaus piya ko jo tum chaho
to pahno suhagan hari-hari chuDiyan
'abr' kahen tum sayyan ki pahno
hui ji ho dularan hari-hari chuDiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.