Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama
noImage

Bahr Lakhnavi

Ashaar of Bahr Lakhnavi

jabīn-e-yār se afshāñ dekhī zarra-e-afshānī

ḳhushī ke phuul jhaḌte haiñ charāġh-e-anvar se

jabin-e-yar se afshan ki dekhi zarra-e-afshani

KHushi ke phul jhaDte hain charagh-e-anwar se

ġhhazab meñ jaan hai har-dam duā kartā huuñ dāvar se

mohabbat jaaye dil se ye balā nikle mire ghar se

ghazab mein jaan hai har-dam dua karta hun dawar se

mohabbat jaye dil se ye bala nikle mere ghar se

ḳhudā ko yaad kar kiyūñ multajī hai kīmiyā-gar se

ki sonā ḳhaak se hotā hai paidā la'l patthar ser

KHuda ko yaad kar kiyun multaji hai kimiya-gar se

ki sona KHak se hota hai paida la'l patthar ser

ḳhudā ko yaad kar kiyūñ multajī hai kīmiyā-gar se

ki sonā ḳhaak se hotā hai paidā la'l patthar ser

KHuda ko yaad kar kiyun multaji hai kimiya-gar se

ki sona KHak se hota hai paida la'l patthar ser

Recitation

Speak Now