si-harfi
alif allāh aap ilāhī aparūp avānkār
ahad nirgun arūpe niranjan antahkaran kartār
be basīrat basar basārat bāñhar behtar dekh
banda bandagī-pan suuñ buuje bārī-ta.alā ek
te ta.ayyun avval tarātan taqvā isthaval
tirkutī tri-mūrtī jis te tirbenī tarmūl
se sanā par sābit ho kar lījiye har kā naañv
sanā sifat us har kā kījiye jo har hai har Thāoñ
jiim jamālī jagat jagat kā jibhva jabrūt jaan
jalāl jamāl par shāhid ho kar jaap jiyo kar dhyān
he haqīqat hukm-e-ilāhī hāzir-o-nāzir jaano
hakīm hāfiz hākim hikmat hājat rakh pahchāno
ḳhe ḳhilqat meñ ḳhalā-malā ho ḳhalvat-ḳhāna kiitā
ḳhāliq ḳhūbī ḳhabar ḳhalaq kā ḳhaas nabī kuuñ detā
daal dalālt dil par daatā dhyān dhanī kā kiije
dukh dukhī kā duur karan kuuñ dhyān daras kā diije
zaal zalālat zillat saT kar zikar fikar meñ rahnā
zaat sifāt ke zauqoñ bātāñ zākir ho kar kahnā
re riyāzat rab par raazī rahnā raat hor des
raam rahīm rahmān hai ek hī satgur kā updes
ze zaanū dhar yād-e-ḳhudā meñ zar zevar sab chhoḌo
zaarī kar kar zeb-o-zīnat kī ulfat man suuñ toḌo
scene sam.a par sāme.a ho kar sun anjad kā yaad
sirī sarūpa sab sarat nirita se sakhiyāñ meñ shaad
shiin shahādat shāhid ho kar sharī.at puurā shākir
shauq shuhūd mash.hūdī shaġhloñ daa.im rahnā zākir
saad sabr kar sābir rahnā apnī sāhib kā karan
sādir vārid āvāgavan par shāhid rakhnā tan-man
zaad ziyāfat zābit ho kar zarūr jaano lāzim
zid ziyā kuuñ zarar karegā zid kā mat ho ḳhādim
to.e tāqat suuñ tālib ho kar talab hāsil kar tuuñ
tab.a tama.a kī taraf na lā kar tarīqat par man dhar tuuñ
zo.e zulm kā zulmat duur kar zāhir honā
zil meñ murshid-e-kāmil mile to zindagī saarī khonā
ain alī kā abad kalā kar ainiyat kuuñ būjhe
āshiq aarif o jo jis kuuñ rasm-e-ainī sūjhe
ġhain ġhulām maulā ho kar ġhālib ġhazab par achanā
ġharīb setī ġhanī kalā kar ġhair-o-ġhurūr suuñ bachnā
fe fanā ho faanī fillāh faqar faaqe saat
fahm farāsat fazl karam suuñ fā.eda kiije haat
qaaf qadīm hai qādir qudrat qāhir ism-e-ḳhās
qazā qadar par qaane ho kar rahnā bā-iḳhlās
kaaf kalām par kal kāmil kun kalima simran kar
kufr kibr kā chhoḌ pichāno karīm par mayar
laam liqā suuñ laT-paT ho kar lazzat lī ho laal
lāzim karnā majnūñ ḳhātir lailā kā ahvāl
miim mohammad maulā merā muḳhbir sādiq-pāk
jis ke kāran shashī davā kar hor bhyā aflāk
nuun nāzir hai nūr-e-nabī par hor nubuvvat nādir
nirgun sā.īñ naam niranjan tis kul par qādir
vaav vajūd o vājib tan suuñ vāhid vahdat buujo
valī vilāyat vaalī vāsil vāqif kasrat buujo
he hidāyat haadī ho kar huvallāh batlā.e
har-dam hū-hū naam batā kar sendī mārag laa.e
e yaqīn suuñ yaad ḳhudā kā yā-hū yā-ho karnā
man araf sab hāsil kar faqad par man dharnā
'turāb' bīsht-o-hasht harf kā bayāñ kiyā hai saarā
har-yak bait meñ har-yak matlab rākhā haigā nyārā
alif allah aap ilahi aparup awankar
ahad nirgun arupe niranjan antahkaran kartar
be basirat basar basarat banhar behtar dekh
banda bandagi-pan sun buje bari-tala ek
te tayyun awwal taraatan taqwa isthawal
tirkuti tri-murti jis te tirbeni tarmul
se sana par sabit ho kar lijiye har ka nanw
sana sifat us har ka kijiye jo har hai har Thaon
jim jamali jagat jagat ka jibhwa jabrut jaan
jalal jamal par shahid ho kar jap jiyo kar dhyan
he haqiqat hukm-e-ilahi hazir-o-nazir jaano
hakim hafiz hakim hikmat hajat rakh pahchano
KHe KHilqat mein KHala-mala ho KHalwat-KHana kita
KHaliq KHubi KHabar KHalaq ka KHas nabi kun deta
dal dalalt dil par data dhyan dhani ka kije
dukh dukhi ka dur karan kun dhyan daras ka dije
zal zalalat zillat saT kar zikar fikar mein rahna
zat sifat ke zauqon baatan zakir ho kar kahna
re riyazat rab par raazi rahna raat hor des
ram rahim rahman hai ek hi satgur ka updes
ze zanu dhar yaad-e-KHuda mein zar zewar sab chhoDo
zari kar kar zeb-o-zinat ki ulfat man sun toDo
scene sama par samea ho kar sun anjad ka yaad
siri sarupa sab sarat nirita se sakhiyan mein shad
shin shahadat shahid ho kar shariat pura shakir
shauq shuhud mashhudi shaghlon daim rahna zakir
sad sabr kar sabir rahna apnī sahib ka karan
sadir warid aawagawan par shahid rakhna tan-man
zad ziyafat zabit ho kar zarur jaano lazim
zid ziya kun zarar karega zid ka mat ho KHadim
toe taqat sun talib ho kar talab hasil kar tun
taba tama ki taraf na la kar tariqat par man dhar tun
zoe zulm ka zulmat dur kar zahir hona
zil mein murshid-e-kaamil mile to zindagi sari khona
ain ali ka abad kala kar ainiyat kun bujhe
aashiq aarif o jo jis kun rasm-e-aini sujhe
ghain ghulam maula ho kar ghaalib ghazab par achana
gharib seti ghani kala kar ghair-o-ghurur sun bachna
fe fana ho fani fillah faqar faqe sat
fahm farasat fazl karam sun faeda kije hat
qaf qadim hai qadir qudrat qahir ism-e-KHas
qaza qadar par qane ho kar rahna ba-iKHlas
kaf kalam par kal kaamil kun kalima simran kar
kufr kibr ka chhoD pichano karim par mayar
lam liqa sun laT-paT ho kar lazzat li ho lal
lazim karna majnun KHatir laila ka ahwal
mim mohammad maula mera muKHbir sadiq-pak
jis ke karan shashi dawa kar hor bhya aflak
nun nazir hai nur-e-nabi par hor nubuwwat nadir
nirgun sain nam niranjan tis kul par qadir
waw wajud o wajib tan sun wahid wahdat bujo
wali wilayat wali wasil waqif kasrat bujo
he hidayat hadi ho kar huwallah batlae
har-dam hu-hu nam bata kar sendi marag lae
e yaqin sun yaad KHuda ka ya-hu ya-ho karna
man araf sab hasil kar faqad par man dharna
'turab' bisht-o-hasht harf ka bayan kiya hai sara
har-yak bait mein har-yak matlab rakha haiga nyara
- Book : Diwan-e-turab (Pg. 494)
- Author : Shah Turab Ali Dakani
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Pakistan) (1983)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.