milad-un-nabi
mubārak ahl-e-īmāñ ko ki ḳhatm-ul-mursalīn aa.e
mubārak sad-mubārak bānī-e-dīn-e-mubīñ aa.e
mubārak ho ki duniyā meñ sah-e-duniyā-o-dīñ aa.e
charāġh-e-tūr aa.e zīnat-e-arsh-e-barīñ aa.e
ki husn-e-zāt dene ke liye zauq-e-yaqīñ aa.e
mubārak ho jahāñ ko rahmatul-lil.ālamīñ aa.e
ye roz-e-kun se bhī pahle zamāne kī kahānī hai
do-ālam meñ mohammad kā na thā saanī na saanī hai
fanā zer-e-qadam un kī baqā par hukmarānī hai
mohammad ke ġhulāmoñ tak kī hastī jāvedānī hai
sarāpā ishq-e-haq ban kar hasīnoñ ke hasīñ aa.e
mubārak ho jahāñ ko rahmatul-lil.ālamīñ aa.e
vahī hā-mīm taahā haiñ mudassir haiñ muzammil haiñ
vo karramnā banī-ādam kī tafsīr-e-mukammal haiñ
imām-ul-ambiyā haiñ nuur haiñ insān-e-kāmil haiñ
ḳhudā ḳhud mīr-e-majlis hai mohammad sham-e-mahfil haiñ
diloñ ko nuur dene ke liye nūr-e-mubīñ aa.e
mubārak ho jahāñ ko rahmatul-lil.ālamīñ aa.e
dam-e-īsā yad-e-baizā se aage hai maqām un kā
kalāmullāh kī tafsīr hai goyā kalām un kā
hayāt-e-jāvidāñ detā hai duniyā ko payām un kā
ḳhudā hī jāntā hai kis qadar pyārā hai naam un kā
gunah-gāro na ghabrāo shafī.ul-muznabīñ aa.e
mubārak ho jahāñ ko rahmatul-lil.ālamīñ aa.e
dar-o-dīvār taiba ke ḳhushī se jagmagāte haiñ
fazā.eñ raqs kartī haiñ parinde chahchahāte haiñ
malā.ek hūr-o-ġhilmāñ raah meñ āñkheñ bichhāte haiñ
ki sultān-e-zamāna dahr meñ tashrīf laate haiñ
jabīn-e-āsmāñ jhuktī huī suu.ye zamīñ aa.e
mubārak ho jahāñ ko rahmatul-lil.ālamīñ aa.e
do-ālam ke diloñ ko nuur detā hai jamāl un kā
ye jaañ un kī ye dil un kā sifat un kī kamāl un kā
ye din un kā charāġh un ke firāq un kā visāl un kā
ġhulām-e-kam-tarīñ 'vāsif'-alī ke hai ḳhayāl un kā
mohammad kī ġhulāmī meñ qulūb-ul-āshiqīñ aa.e
mubārak ho jahāñ ko rahmat-ul-lil.ālamīñ aa.e
mubarak ahl-e-iman ko ki KHatm-ul-mursalin aae
mubarak sad-mubarak bani-e-din-e-mubin aae
mubarak ho ki duniya mein sah-e-duniya-o-din aae
charagh-e-tur aae zinat-e-arsh-e-barin aae
ki husn-e-zat dene ke liye zauq-e-yaqin aae
mubarak ho jahan ko rahmatul-lilalamin aae
ye roz-e-kun se bhi pahle zamane ki kahani hai
do-alam mein mohammad ka na tha sani na sani hai
fana zer-e-qadam un ki baqa par hukmarani hai
mohammad ke ghulamon tak ki hasti jawedani hai
sarapa ishq-e-haq ban kar hasinon ke hasin aae
mubarak ho jahan ko rahmatul-lilalamin aae
wahi ha-mim taha hain mudassir hain muzammil hain
wo karramna bani-adam ki tafsir-e-mukammal hain
imam-ul-ambiya hain nur hain insan-e-kaamil hain
KHuda KHud mir-e-majlis hai mohammad sham-e-mahfil hain
dilon ko nur dene ke liye nur-e-mubin aae
mubarak ho jahan ko rahmatul-lilalamin aae
dam-e-isa yad-e-baiza se aage hai maqam un ka
kalamullah ki tafsir hai goya kalam un ka
hayat-e-jawidan deta hai duniya ko payam un ka
KHuda hi jaanta hai kis qadar pyara hai nam un ka
gunah-garo na ghabrao shafiul-muznabin aae
mubarak ho jahan ko rahmatul-lilalamin aae
dar-o-diwar taiba ke KHushi se jagmagate hain
fazaen raqs karti hain parinde chahchahate hain
malaek hur-o-ghilman rah mein aankhen bichhate hain
ki sultan-e-zamana dahr mein tashrif late hain
jabin-e-asman jhukti hui suye zamin aae
mubarak ho jahan ko rahmatul-lilalamin aae
do-alam ke dilon ko nur deta hai jamal un ka
ye jaan un ki ye dil un ka sifat un ki kamal un ka
ye din un ka charagh un ke firaq un ka visal un ka
ghulam-e-kam-tarin 'wasif'-ali ke hai KHayal un ka
mohammad ki ghulami mein qulub-ul-ashiqin aae
mubarak ho jahan ko rahmat-ul-lilalamin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.