hilal-e-id
chalnā sambhal sambhal ke zarā ai hilāl-e-īd
laġhzish na de kahīñ tire pā ko hujūm-e-dīd
mushtāq aaj terā har ik ḳhās-o-ām hai
dam le zarā sambhal ke baḌā izhdahām hai
ye ān-e-sabr-kash ye adā-e-hasīn-tar
ye e'tidāl-e-nūr ye ḳham qātil-e-nazar
ye husn-e-sarmadī kī tajallī jhalak meñ hai
yā chashm-e-nīm-bāz kī tābish palak meñ hai
yā darz khul ga.ī hai koī āsmān kī
duniyā ko jhāñktī hai tapish us jahān kī
chalna sambhal sambhal ke zara ai hilal-e-id
laghzish na de kahin tere pa ko hujum-e-did
mushtaq aaj tera har ek KHas-o-am hai
dam le zara sambhal ke baDa izhdaham hai
ye aan-e-sabr-kash ye ada-e-hasin-tar
ye e'tidal-e-nur ye KHam qatil-e-nazar
ye husn-e-sarmadi ki tajalli jhalak mein hai
ya chashm-e-nim-baz ki tabish palak mein hai
ya darz khul gai hai koi aasman ki
duniya ko jhankti hai tapish us jahan ki
- Book : Maikada (Pg. 24)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.