krishn kanhayya
ai dekhne vaalo
is husn ko dekho
is raaz ko samjho
ye naqsh-e-ḳhayālī
ye fikrat-e-ālī
ye paikar-e-tanvīr
ye krishn kī tasvīr
ma.anī hai ki sūrat
san.at hai ki fitrat
zāhir hai ki mastūr
nazdīk hai yā duur
ye naar hai yā nuur
duniyā se nirālā
ye bāñsurī vaalā
gokul kā gvālā
hai sehr ki e.ajāz
khultā hī nahīñ raaz
kyā shaan hai vallāh
kyā aan hai vallāh
hairān huuñ kyā hai
ik shān-e-ḳhudā hai
but-ḳhāne ke andar
ḳhud husn kā but-gar
but ban gayā aa kar
vo turfa nazzāre
yaad aa ga.e saare
jamunā ke kināre
sabze kā lahaknā
phūloñ kā mahaknā
ghanghor ghaTā.eñ
sarmast havā.eñ
ma.asūm umañgeñ
ulfat kī tarañgeñ
vo gopiyoñ ke saath
hāthoñ meñ diye haath
raqsāñ huā brijnāth
bansī meñ jo lai hai
nashsha hai na mai hai
kuchh aur hī shai hai
ik ruuh hai raqsāñ
ik kaif hai larzāñ
ek aql hai mai-nosh
ik hosh hai mad.hosh
ik ḳhanda hai sayyāl
ik girya hai ḳhush-hāl
ik ishq hai maġhrūr
ik husn hai majbūr
ik sehr hai mas.hūr
darbār meñ tanhā
lāchār hai kirishnā
aa shyām idhar aa
sab ahl-e-ḳhusūmat
haiñ dar pa.e izzat
ye raaj dulāre
buzdil hue saare
parda na ho tārāj
bekas kī rahe laaj
aa jā mere kaale
bhārat ke ujāle
dāman meñ chhupā le
vo ho ga.ī an-ban
vo garm huā ran
ġhālib hai duryodhan
vo aa ga.e jagdīsh
vo miT ga.ī tashvīsh
arjun ko bulāyā
updesh sunāyā
ġham-zād kā ġham kyā
ustād kā ġham kyā
lo ho ga.ī tadbīr
lo ban ga.ī taqdīr
lo chal ga.ī shamshīr
sīrat hai adū-soz
sūrat nazar-afroz
dil kaifiyat-andoz
ġhusse meñ jo aa jaa.e
bijlī hī girā jaa.e
aur lutf par aa.e
to ghar bhī luTā jaa.e
pariyoñ meñ hai gulfām
rādhā ke liye shyām
balrām kā bhayyā
mathurā kā basayyā
bindrā meñ kanhayyā
ban ho ga.e vīrāñ
barbād gulistāñ
sakhiyāñ haiñ pareshāñ
jamunā kā kinārā
sunsān hai saarā
tūfān haiñ ḳhāmosh
maujoñ meñ nahīñ josh
lau tujh se lagī hai
hasrat hī yahī hai
ai hind ke raajā
ik baar phir aa jā
dukh dard miTā jā
abr aur havā se
bulbul kī sadā se
phūloñ kī ziyā se
jādū-asarī gum
shorīda-sarī gum
haañ terī judā.ī
mathurā ko na bhaa.ī
tū aa.e to shaan aa.e
tū aa.e to jaan aa.e
aanā na akele
hoñ saath vo mele
sakhiyoñ ke jhamele
ai dekhne walo
is husn ko dekho
is raaz ko samjho
ye naqsh-e-ḳhayālī
ye fikrat-e-ālī
ye paikar-e-tanwīr
ye krishn kī taswīr
manī hai ki sūrat
sanat hai ki fitrat
zāhir hai ki mastūr
nazdīk hai yā dur
ye nar hai yā nur
duniyā se nirālā
ye bāñsurī walā
gokul kā gwālā
hai sehr ki eajāz
khultā hī nahīñ raaz
kyā shan hai wallāh
kyā aan hai wallāh
hairān huñ kyā hai
ek shān-e-ḳhudā hai
but-ḳhāne ke andar
ḳhud husn kā but-gar
but ban gayā aa kar
wo turfa nazzāre
yaad aa gae sare
jamunā ke kināre
sabze kā lahaknā
phūloñ kā mahaknā
ghanghor ghaTāeñ
sarmast hawāeñ
masūm umañgeñ
ulfat kī tarañgeñ
wo gopiyoñ ke sath
hāthoñ meñ diye hath
raqsāñ huā brijnāth
bansī meñ jo lai hai
nashsha hai na mai hai
kuchh aur hī shai hai
ek ruh hai raqsāñ
ek kaif hai larzāñ
ek aql hai mai-nosh
ek hosh hai madhosh
ek ḳhanda hai sayyāl
ek girya hai ḳhush-hāl
ek ishq hai maġhrūr
ek husn hai majbūr
ek sehr hai mashūr
darbār meñ tanhā
lāchār hai kirishnā
aa shyām idhar aa
sab ahl-e-ḳhusūmat
haiñ dar pae izzat
ye raj dulāre
buzdil hue sare
parda na ho tārāj
bekas kī rahe laj
aa jā mere kale
bhārat ke ujāle
dāman meñ chhupā le
wo ho gaī an-ban
wo garm huā ran
ġhālib hai duryodhan
wo aa gae jagdīsh
wo miT gaī tashwīsh
arjun ko bulāyā
updesh sunāyā
ġham-zād kā ġham kyā
ustād kā ġham kyā
lo ho gaī tadbīr
lo ban gaī taqdīr
lo chal gaī shamshīr
sīrat hai adū-soz
sūrat nazar-afroz
dil kaifiyat-andoz
ġhusse meñ jo aa jae
bijlī hī girā jae
aur lutf par aae
to ghar bhī luTā jae
pariyoñ meñ hai gulfām
rādhā ke liye shyām
balrām kā bhayyā
mathurā kā basayyā
bindrā meñ kanhayyā
ban ho gae wīrāñ
barbād gulistāñ
sakhiyāñ haiñ pareshāñ
jamunā kā kinārā
sunsān hai sarā
tūfān haiñ ḳhāmosh
maujoñ meñ nahīñ josh
lau tujh se lagī hai
hasrat hī yahī hai
ai hind ke rajā
ek bar phir aa jā
dukh dard miTā jā
abr aur hawā se
bulbul kī sadā se
phūloñ kī ziyā se
jādū-asarī gum
shorīda-sarī gum
hañ terī judāī
mathurā ko na bhaī
tū aae to shan aae
tū aae to jaan aae
aanā na akele
hoñ sath wo mele
sakhiyoñ ke jhamele
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.