main rish-e-mubarak se kya dun misal
maiñ rīsh-e-mubārak se kyā duuñ misāl
magar ek mazmūn hai hasb-e-hāl
ye ruḳh us kā qur.ān hai saaf saaf
vo rīsh-e-mubārak hai us kā ġhilāf
sivā us kī dūsrī aur hai
misāl us kī likhne kā ek taur hai
yahī mere palla meñ mazmūñ milā
hai ye rehl-ruḳh us pe qur.ān khulā
maiñ likhtā huuñ us ko ab ek taur par
jo hai us kā mazmūñ kījiyo nazar
ulaT-pher hai us meñ maiñ kyā kahūñ
ruḳh-e-darvesh tak sham.a hai vāzhgūñ
main rish-e-mubarak se kya dun misal
magar ek mazmun hai hasb-e-haal
ye ruKH us ka quran hai saf saf
wo rish-e-mubarak hai us ka ghilaf
siwa us ki dusri aur hai
misal us ki likhne ka ek taur hai
yahi mere palla mein mazmun mila
hai ye rehl-ruKH us pe quran khula
main likhta hun us ko ab ek taur par
jo hai us ka mazmun kijiyo nazar
ulaT-pher hai us mein main kya kahun
ruKH-e-darwesh tak shama hai wazhgun
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 119)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.