gulshan-e-hindustan
gulshan kī shādāb fazā hai phuul khile haiñ Daalī Daalī
kitne dil-kash barg-o-samar haiñ kitnī hai sundar hariyālī
is gulshan ke rahne vaale sab haiñ is gulshan ke maalī
har din apnā ii.d milan hai har shab apne ghar hai divālī
gulshan kī shādāb fazā hai phuul khile haiñ Daalī Daalī
desh hamārā sahn-e-chaman hai sahn-e-chaman meñ ghuum rahe haiñ
kaliyoñ par haiñ dil se nichhāvar phūloñ kā muñh chuum rahe haiñ
barsoñ ham nā-shād rahe haiñ sadiyoñ ham maġhmūm rahe haiñ
aaj hai ghar meñ jashn-e-masarrat fart-e-ḳhushī se jhuum rahe haiñ
gulshan kī shādāb fazā hai phuul khile haiñ Daalī Daalī
is gulshan meñ jo bhī rahegā har ġham se āzād rahegā
pattā pattā buuTā buuTā shaad bhī hai aur shaad rahegā
fikr sukūñ-āmez rahegī zehn vafā ījād rahegā
shor-e-zindabād rahā hai shor-e-zindabād rahegā
gulshan kī shādāb fazā hai phuul khile haiñ Daalī Dalī
jashn-e-tarab hai jashn-e-tarab meñ aao ai matavālo aao
zarroñ ko ḳhurshīd kī zau do tāroñ ko mahtāb banāo
giit sunāo naġhma gaao vajd meñ aao jaam uThāo
hind kā parcham sab kā parcham ye parcham ghar ghar lahrāo
gulshan kī shādāb fazā hai phuul khile haiñ Daalī Daalī
nuur badāmāñ aaj kā din hai kaif kā sāmāñ aaj kī shab hai
shahr-e-nigārāñ aaj kā din hai husn-e-ġhazālāñ aaj kī shab hai
rāhat-e-yārāñ aaj kā din hai dard kā darmāñ aaj kī shab hai
ziist kā unvāñ aaj kā din hai shorish-e-rindāñ aaj kī shab hai
gulshan kī shādāb fazā hai phuul khile haiñ Daalī Dalī
har din apnā īd-milan hai har shab apne ghar hai divālī
gulshan ki shadab faza hai phul khile hain Dali Dali
kitne dil-kash barg-o-samar hain kitni hai sundar hariyali
is gulshan ke rahne wale sab hain is gulshan ke mali
har din apna id milan hai har shab apne ghar hai diwali
gulshan ki shadab faza hai phul khile hain Dali Dali
desh hamara sahn-e-chaman hai sahn-e-chaman mein ghum rahe hain
kaliyon par hain dil se nichhawar phulon ka munh chum rahe hain
barson hum na-shad rahe hain sadiyon hum maghmum rahe hain
aaj hai ghar mein jashn-e-masarrat fart-e-KHushi se jhum rahe hain
gulshan ki shadab faza hai phul khile hain Dali Dali
is gulshan mein jo bhi rahega har gham se aazad rahega
patta patta buTa buTa shad bhi hai aur shad rahega
fikr sukun-amez rahegi zehn wafa ijad rahega
shor-e-zindabaad raha hai shor-e-zindabaad rahega
gulshan ki shadab faza hai phul khile hain Dali Dali
jashn-e-tarab hai jashn-e-tarab mein aao ai matawalo aao
zarron ko KHurshid ki zau do taron ko mahtab banao
git sunao naghma gao wajd mein aao jam uThao
hind ka parcham sab ka parcham ye parcham ghar ghar lahrao
gulshan ki shadab faza hai phul khile hain Dali Dali
nur badaman aaj ka din hai kaif ka saman aaj ki shab hai
shahr-e-nigaran aaj ka din hai husn-e-ghazalan aaj ki shab hai
rahat-e-yaran aaj ka din hai dard ka darman aaj ki shab hai
zist ka unwan aaj ka din hai shorish-e-rindan aaj ki shab hai
gulshan ki shadab faza hai phul khile hain Dali Dali
har din apna id-milan hai har shab apne ghar hai diwali
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 135)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.