Sufinama

gulshan-e-hindustan

Aziz Warsi Dehlvi

gulshan-e-hindustan

Aziz Warsi Dehlvi

MORE BYAziz Warsi Dehlvi

    gulshan shādāb fazā hai phuul khile haiñ Daalī Daalī

    kitne dil-kash barg-o-samar haiñ kitnī hai sundar hariyālī

    is gulshan ke rahne vaale sab haiñ is gulshan ke maalī

    har din apnā ii.d milan hai har shab apne ghar hai divālī

    gulshan shādāb fazā hai phuul khile haiñ Daalī Daalī

    desh hamārā sahn-e-chaman hai sahn-e-chaman meñ ghuum rahe haiñ

    kaliyoñ par haiñ dil se nichhāvar phūloñ muñh chuum rahe haiñ

    barsoñ ham nā-shād rahe haiñ sadiyoñ ham maġhmūm rahe haiñ

    aaj hai ghar meñ jashn-e-masarrat fart-e-ḳhushī se jhuum rahe haiñ

    gulshan shādāb fazā hai phuul khile haiñ Daalī Daalī

    is gulshan meñ jo bhī rahegā har ġham se āzād rahegā

    pattā pattā buuTā buuTā shaad bhī hai aur shaad rahegā

    fikr sukūñ-āmez rahegī zehn vafā ījād rahegā

    shor-e-zindabād rahā hai shor-e-zindabād rahegā

    gulshan shādāb fazā hai phuul khile haiñ Daalī Dalī

    jashn-e-tarab hai jashn-e-tarab meñ aao ai matavālo aao

    zarroñ ko ḳhurshīd zau do tāroñ ko mahtāb banāo

    giit sunāo naġhma gaao vajd meñ aao jaam uThāo

    hind parcham sab parcham ye parcham ghar ghar lahrāo

    gulshan shādāb fazā hai phuul khile haiñ Daalī Daalī

    nuur badāmāñ aaj din hai kaif sāmāñ aaj shab hai

    shahr-e-nigārāñ aaj din hai husn-e-ġhazālāñ aaj shab hai

    rāhat-e-yārāñ aaj din hai dard darmāñ aaj shab hai

    ziist unvāñ aaj din hai shorish-e-rindāñ aaj shab hai

    gulshan shādāb fazā hai phuul khile haiñ Daalī Dalī

    har din apnā īd-milan hai har shab apne ghar hai divālī

    gulshan ki shadab faza hai phul khile hain Dali Dali

    kitne dil-kash barg-o-samar hain kitni hai sundar hariyali

    is gulshan ke rahne wale sab hain is gulshan ke mali

    har din apna id milan hai har shab apne ghar hai diwali

    gulshan ki shadab faza hai phul khile hain Dali Dali

    desh hamara sahn-e-chaman hai sahn-e-chaman mein ghum rahe hain

    kaliyon par hain dil se nichhawar phulon ka munh chum rahe hain

    barson hum na-shad rahe hain sadiyon hum maghmum rahe hain

    aaj hai ghar mein jashn-e-masarrat fart-e-KHushi se jhum rahe hain

    gulshan ki shadab faza hai phul khile hain Dali Dali

    is gulshan mein jo bhi rahega har gham se aazad rahega

    patta patta buTa buTa shad bhi hai aur shad rahega

    fikr sukun-amez rahegi zehn wafa ijad rahega

    shor-e-zindabaad raha hai shor-e-zindabaad rahega

    gulshan ki shadab faza hai phul khile hain Dali Dali

    jashn-e-tarab hai jashn-e-tarab mein aao ai matawalo aao

    zarron ko KHurshid ki zau do taron ko mahtab banao

    git sunao naghma gao wajd mein aao jam uThao

    hind ka parcham sab ka parcham ye parcham ghar ghar lahrao

    gulshan ki shadab faza hai phul khile hain Dali Dali

    nur badaman aaj ka din hai kaif ka saman aaj ki shab hai

    shahr-e-nigaran aaj ka din hai husn-e-ghazalan aaj ki shab hai

    rahat-e-yaran aaj ka din hai dard ka darman aaj ki shab hai

    zist ka unwan aaj ka din hai shorish-e-rindan aaj ki shab hai

    gulshan ki shadab faza hai phul khile hain Dali Dali

    har din apna id-milan hai har shab apne ghar hai diwali

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 135)
    • Author : Azeez Warsi
    • Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now