ehram ki bahaar wo har rang ki phaban
ehrām kī bahār vo har rañg kī phaban
misl-e-shuā-e-mehr chamaktā hai sab badan
raushan hai rū-e-pāk se har bazm-o-anjuman
ḳhush-rañg jis tarah se chaman meñ gul-e-chaman
zīnat hai jis kī vo gul-rū-e-sabad ye hai
bāġh-e-jahāñ meñ murassā har nek-o-bad hai
vo bhiiḌ rahtī hai dar-e-daulat pe har ghaḌī
ḳhalq-e-ḳhudā hai āTh-pahr DevḌhī par aḌī
chup hai khaḌā sutūñ meñ liye haath meñ chhaḌī
har-sū ravāñ hai dīda-e-mushtāq se jhaḌī
yuuñ qumriyoñ kā ishq hai is sarv-e-bāġh par
girte haiñ jis tarah se patañge charāġh par
ehram ki bahaar wo har rang ki phaban
misl-e-shua-e-mehr chamakta hai sab badan
raushan hai ru-e-pak se har bazm-o-anjuman
KHush-rang jis tarah se chaman mein gul-e-chaman
zinat hai jis ki wo gul-ru-e-sabad ye hai
bagh-e-jahan mein murassa har nek-o-bad hai
wo bhiD rahti hai dar-e-daulat pe har ghaDi
KHalq-e-KHuda hai aaTh-pahr DewDhi par aDi
chup hai khaDa sutun mein liye hath mein chhaDi
har-su rawan hai dida-e-mushtaq se jhaDi
yun qumriyon ka ishq hai is sarw-e-bagh par
girte hain jis tarah se patange charagh par
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 153)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.