ra.ng-e-haidar hazrat-e-muslim piyaa kaa ra.ng hai

Syed Hassan Ahmed
MORE BYSyed Hassan Ahmed
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت مسلم۔
ra.ng-e-haidar hazrat-e-muslim piyaa kaa ra.ng hai
dilbar-e-kHvaaja bashiir-e-auliyaa kaa ra.ng hai
ruKH pe bikhrii zulf hai.n terii rasuul paak sii
aur chehre se 'ayaa.n sher-e-KHudaa kaa ra.ng hai
kaif-o-mastii me.n yahii kahte nazar aa.e sabhii
bil-yaqii.n hasnain saa us rahnumaa kaa ra.ng hai
sibGatullaah ke vasiile se khulaa ye bhed hai
ra.ng-e-muslim dar-haqiiqat me.n KHudaa kaa ra.ng hai
gaa.nv bakvaa ke qamar terii ziyaa ke mai.n nisaar
tujh me.n raushan KHud ka.ii ik auliyaa kaa ra.ng hai
dekhaa jis ko ik nazar se ra.ng apnaa de diyaa
terii aa.nkho.n me.n nihaa.n KHvaaja piyaa kaa ra.ng hai
dekh kar muslim piyaa ke ra.ng ko 'ushshaaq bhii
bol aTThe kHuub tere peshvaa kaa ra.ng hai
ra.ng to laakho.n hasii.n hai.n par 'hasan' tere liye
sab se dilkash aur hasii.n muslim piyaa kaa ra.ng hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.