jaan-o-dil se mai.n huu.n shaidaa kHvaaja-e-ajmer kaa
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-بھارت)
jaan-o-dil se mai.n huu.n shaidaa kHvaaja-e-ajmer kaa
mere dil me.n hai dariicha kHvaaja-e-ajmer kaa
miirzaa.ii kaif-o-mastii me.n huu.n mai.n Duubaa hu.aa
chishtiya hai ye pyaala kHvaaja-e-ajmer kaa
KHud-shanaasii ho to be-shak ho KHudaa bhii ruu-shanaas
haa.n yahii kahnaa hai kahnaa kHvaaja-e-ajmer kaa
ek me.n sab sab me.n us ko dekhtaa huu.n har taraf
ye nazar kis kaa hai sadqa kHvaaja-e-ajmer kaa
vaah rii nisbat ki thaamaa haath mai.n ne piir kaa
un ke uupar haath kis kaa kHvaaja-e-ajmer kaa
is liye jaltaa hai apnaa tez tuufaa.n me.n diyaa
hai hamaare sar pe saayaa kHvaaja-e-ajmer kaa
har jagah nisbat mujhe ghere me.n letii hai sadaa
faiz hai sultaa.n anokhaa kHvaaja-e-ajmer kaa

- Book : Zaad-e-Aakhirat (Pg. 153)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.