mohammad mustafaa jin ko ki haq kaa mudda'aa kahiye

Shah Helal Ahmad
MORE BYShah Helal Ahmad
mohammad mustafaa jin ko ki haq kaa mudda'aa kahiye
nubuvvat kii unhii.n ko ibtidaa-o-intihaa kahiye
vo aa.e ban ke 'aalam me.n naved-e-hazrat-e-'iisaa
vahii aa.e KHiilullaah kii jin ko du'aa kahiye
vahii ahmad mohammad haamid-o-mahmuud hai.n be-shak
jinhe.n sirr-e-zuhuur-e-kunto-kanzan maKHfiyan kahiye
mukammal diin hai un kaa mukammal hai sharii'at bhii
hidaayat ko ye kaafii hai ilaahii yaum-ul-jazaa kahiye
'ajab hai shaan-e-mahbuubii mohammad kii do-'aalam me.n
muhibb-e-ahmad-e-muKHtaar hai KHud bhii KHudaa kahiye
unhii.n kii pairvii rab kii 'ibaadat hai bilaa-shuba
nuquush-e-paa-e-ahmad ko hii haq kaa raasta kahiye
unhii.n ke dam se qaa.im hai.n jahaa.n kii raunaqe.n har-dam
unhe.n kii zaat ko nuur-e-KHudaa haq kii ziyaa kahiye
vahii Gam-kHvaar-e-ummat hai.n vahii haadii vahii rahbar
unhii.n ko kashtii-e-ummat kaa apnii naaKHudaa kahiye
adab un kaa hai shart-e-avvalii.n takmiil-e-iimaa.n me.n
mohabbat juzv-e-dii.n hai diin kii jis ko binaa kahiye
nahii.n ko.ii phiraa hai dar se un ke maa.ngne vaalaa
saKHaavat un kii 'aadat hai karam un kii adaa kahiye
vo maalik hai.n milaa hai iKHtiyaar-e-kul jahaa.n un ko
banaayaa un ko maalik ne hii maalik hai to kyaa kahiye
jabiin-e-shauq ho apnii ho sa.ng-e-aastaa.n un kaa
kabhii to ai shah-e-'aalam use bhii dar pe aa kahiye
sanaa-KHvaanii pe naazaa.n hai 'hilaal'-e-qaadirii jis ko
Gariib aavaara-e-kuu-e-mohammad mustafaa kahiye

- Book : Al-Mojeeb (Pg. 533)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.