hamaaraa dil madiine kii zamii.n hai
hamaaraa dil madiine kii zamii.n hai
ki mahbuub-e-KHudaa is me.n makii.n hai
falak rakhtaa jahaa.n apnii jabii.n hai
vo un ke dar kii bas KHaak-e-zamii.n hai
na puuchho rutba KHatm-ul-ambiyaa kaa
lagii qadmo.n se firdaus-e-barii.n hai
ye kis gesuu kii KHushbuu khil rahii hai
khulii shaayad vo zulf-e-’ambarii.n hai
ye dil aa.iina-e-husn-e-azal hai
ki tasviir-e-mohammad dil-nashii.n hai
mohabbat dil lagii hai ik vo lekin
ye 'ishq-e-mustafaa iimaan-o-dii.n hai
vahii hai.n baa.is-e-iijaad-e-a.alam
inhii ke dam se qaa.im ye zamii.n hai
Gulaamo.n se nahii.n apne vo Gaafil
shafaa'at us kii us din bil-yaqii.n hai
'hilaal'-e-kam-tarii.n par bhii karam ho
gadaa-e-dar-gah-e-sultaan-e-dii.n hai
hamaaraa dil madiine kii zamii.n hai
ki mahbuub-e-KHudaa is me.n makii.n hai
falak rakhtaa jahaa.n apnii jabii.n hai
vo un ke dar kii bas KHaak-e-zamii.n hai
na puuchho rutba KHatm-ul-ambiyaa kaa
lagii qadmo.n se firdaus-e-barii.n hai
ye kis gesuu kii KHushbuu khil rahii hai
khulii shaayad vo zulf-e-’ambarii.n hai
ye dil aa.iina-e-husn-e-azal hai
ki tasviir-e-mohammad dil-nashii.n hai
mohabbat dil lagii hai ik vo lekin
ye 'ishq-e-mustafaa iimaan-o-dii.n hai
vahii hai.n baa.is-e-iijaad-e-a.alam
inhii ke dam se qaa.im ye zamii.n hai
Gulaamo.n se nahii.n apne vo Gaafil
shafaa'at us kii us din bil-yaqii.n hai
'hilaal'-e-kam-tarii.n par bhii karam ho
gadaa-e-dar-gah-e-sultaan-e-dii.n hai
- Book : Al-Mojeeb (Pg. 532)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.