baras rahii hai KHudaa kii rahmat dar-e-’ataa-o-karam khulaa hai

Bedar Shah Warsi
MORE BYBedar Shah Warsi
baras rahii hai KHudaa kii rahmat dar-e-’ataa-o-karam khulaa hai
zamii.n hai 'arsh-e-barii.n yahaa.n kii jamaal-e-vaaris KHudaa-numaa hai
KHayaal-e-jannat tumhe.n mubaarak ki mai.n huu.n mahv-e-jamaal-e-vaaris
talaash-e-dair-o-haram nahii.n hai sanam-kada mujh ko mil gayaa hai
husain yaktaa jamiil yaktaa ki mai.n ne tujh saa tujhii ko dekhaa
ye shefta hai farefta hai azal se dil teraa mubtalaa hai
tajalliyaat-e-jamaal-e-jaanaa.n se hai munavvar ye dono.n 'aalam
nigaah-e-haq-bii.n se dekhne ko nazar se parda uThaa hu.aa hai
rah mohabbat me.n kaam aayaa hamaaraa ye zauq-e-jab.ha-saa.ii
nasiib 'bedaar' ho gayaa hai usii aastaa.n par jo sar jhukaa hai

- Book : Silsila-e-Warisiya ke makhsoos Shora-e-kram
- Author : Dr.Kabiruddin Khan Warsi
- Publication : Eram Printers, Dariyapur,Patna, (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.