Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

allaah bhii hai nuur mohammad bhii nuur hai

Azizuddin Rizwan Qadri

MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri

    allaah bhii hai nuur mohammad bhii nuur hai

    ye dono.n nuur mil ke hai.n yaa duur duur hai

    kul kaa.inaat gar hai mohammad ke nuur se

    allaah kaa vo nuur kyaa be-kaar nuur hai

    pahchaan kyaa hai allaah mohammad ke nuur kii

    kis tarah samjhe.n nuur ko ye kis kaa nuur hai

    shah-e-rag se vo qariib hai shah-e-rag me.n kyuu.n nahii.n

    is raaz ko vo jaanegaa jo baa-shu.uur hai

    ibliis bhii thaa aadam-o-havvaa bhii KHuld me.n

    sach-sach bataa.o tiino.n me.n kis kaa qusuur hai

    mil jaa.e ko.ii 'aarif-e-kaamil to puuchh luu.n

    batlaa ki kis ke nuur se kis kaa zuhuur hai

    'rizvaa.n' agar vo hogaa to hogaa nufuus me.n

    jab hii to nafsiyaat ko itnaa Guruur hai

    Source :
    • Book : Al-kabeer
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now