shama-ru jalwa-kunan tha mujhe malum na tha
sham.a-rū jalva-kunāñ thā mujhe mā'lūm na thā
saaf parda meñ 'ayāñ thā mujhe mā'lūm na thā
gul meñ bulbul meñ har ik shāḳh meñ har patte meñ
jā-ba-jā us kā nishāñ thā mujhe mā'lūm na thā
sach to hai ki sivā zaat ke jo kuchh thā hayāt
vahm thā shak thā gumāñ thā mujhe mā'lūm na thā
shama-ru jalwa-kunan tha mujhe ma'lum na tha
saf parda mein 'ayan tha mujhe ma'lum na tha
gul mein bulbul mein har ek shaKH mein har patte mein
ja-ba-ja us ka nishan tha mujhe ma'lum na tha
sach to hai ki siwa zat ke jo kuchh tha hayat
wahm tha shak tha guman tha mujhe ma'lum na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.